KHwahishon ke aas-pas
khokhle sīnoñ meñ bahtā hai masīhā.ī azaab
ḳhair-o-shar ke mas.ale sab aaj bhī ham-dosh haiñ
raqs mausīqī adab ehsās aur fikr-o-bayāñ
karb meñ Duube hue ḳhākistar-e-ḳhāmosh haiñ
tishnagī muñh khol kar leTī hai jalte farsh par
āsmāñ ro.e to tar ho ārzūoñ kā libās
ḳhvāhishoñ kī mīThī mīThī aañch kī lazzat meñ gum
aadmī bas ghūmtā hai ḳhvāhishoñ ke ās-pās
log nange jism be-chehra daraḳhtoñ kī tarah
DhūñDte haiñ apne bātin meñ havas kī tāzgī
chand tiira sā.atoñ kī jādūī lau ke tufail
ham vajūdoñ kī darāḌoñ meñ phañse haiñ aaj bhī
haath meñ ḳhanjar nigāhoñ meñ liye kuchh mas.ale
har bashar par ḳhanda-zan ye koī Dāyan hai ki raat
apne āñchal meñ sameTe kul jahāñ kī zulmateñ
mahv-e-ġhaflat bhīlnī kā talḳh joban hai ki raat
pattharoñ par jism ragḌo quvvateñ yakjā karo
ḳhud ko sulgāo ki saarī raat ye mash.al jale
aag hī to shān-e-lab hai aag ugalte jaao tum
ḳhvāh shahr-e-dil jale yā jism kā jangal jale
khokhle sinon mein bahta hai masihai azab
KHair-o-shar ke masale sab aaj bhi ham-dosh hain
raqs mausiqi adab ehsas aur fikr-o-bayan
karb mein Dube hue KHakistar-e-KHamosh hain
tishnagi munh khol kar leTi hai jalte farsh par
aasman roe to tar ho aarzuon ka libas
KHwahishon ki miThi miThi aanch ki lazzat mein gum
aadmi bas ghumta hai KHwahishon ke aas-pas
log nange jism be-chehra daraKHton ki tarah
DhunDte hain apne baatin mein hawas ki tazgi
chand tera saaton ki jadui lau ke tufail
hum wajudon ki daraDon mein phanse hain aaj bhi
hath mein KHanjar nigahon mein liye kuchh masale
har bashar par KHanda-zan ye koi Dayan hai ki raat
apne aanchal mein sameTe kul jahan ki zulmaten
mahw-e-ghaflat bhilni ka talKH joban hai ki raat
pattharon par jism ragDo quwwaten yakja karo
KHud ko sulgao ki sari raat ye mashal jale
aag hi to shan-e-lab hai aag ugalte jao tum
KHwah shahr-e-dil jale ya jism ka jangal jale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.