ki tum ye sach mano
sach maano maiñ ne tumheñ dekhā nahīñ
ek martaba yuuñ huā thā
ki māyūs lamhoñ meñ tumheñ āvāz de kar apnī taraf mutavajjah karne kī sa'ī kar hī rahā thā
ki āhista se āvāz aa.ī
vo nahīñ hai yahāñ pahāḌoñ kī duniyā meñ apne safar par jā chukā hai
ab vo yahāñ nahīñ hai
sirf apnī parchhā.īñ kī āsūdgī ko chhoḌe
kisī anjān jazīre kī khoj meñ nikal chukā hai
phir vo kahīñ se zaḳhmī ho kar tumhāre paas aa.egā
aur apnī āvāz yuuñ buland karegā
kyā tum ne mujhe pukārā
tum kahnā hargiz nahīñ
mirī ‘ibādat kisī bhī khoj ke liye nahīñ hai
maiñ mahsūs kartā huuñ aksar auqāt
ki māyūs lamhe pazhmurda se ho kar
ḳhūbsūrat zabān sunñā chāhte haiñ
lekin mirī ‘ibādat kisī bhī khoj ke liye nahīñ hai
chand saal pahle maiñ us bulandī par pahuñchā thā
vahāñ sirf jangal the ādamiyoñ kā qaht thā
maiñ akelā thā aur vo kisī ḳhvāb-nāk bastī meñ ḳhud ko mahsūs karne gayā thā
dar-asl vo apne kiye par pashemān hai
aur maiñ āzād huuñ
ki tum ye sach maano maiñ ne tumheñ hargiz dekhā nahīñ
sach mano main ne tumhein dekha nahin
ek martaba yun hua tha
ki mayus lamhon mein tumhein aawaz de kar apni taraf mutawajjah karne ki sa'i kar hi raha tha
ki aahista se aawaz aai
wo nahin hai yahan pahaDon ki duniya mein apne safar par ja chuka hai
ab wo yahan nahin hai
sirf apni parchhain ki aasudgi ko chhoDe
kisi anjaan jazire ki khoj mein nikal chuka hai
phir wo kahin se zaKHmi ho kar tumhaare pas aaega
aur apni aawaz yun buland karega
kya tum ne mujhe pukara
tum kahna hargiz nahin
meri ‘ibaadat kisi bhi khoj ke liye nahin hai
main mahsus karta hun aksar auqat
ki mayus lamhe pazhmurda se ho kar
KHubsurat zaban sunna chahte hain
lekin meri ‘ibaadat kisi bhi khoj ke liye nahin hai
chand sal pahle main us bulandi par pahuncha tha
wahan sirf jangal the aadamiyon ka qaht tha
main akela tha aur wo kisi KHwab-nak basti mein KHud ko mahsus karne gaya tha
dar-asl wo apne kiye par pasheman hai
aur main aazad hun
ki tum ye sach mano main ne tumhein hargiz dekha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.