kinara
tū ne achchhā hī kiyā mujh se kināra kar ke
maiñ tujhe yās-o-aziyyat ke sivā kyā detā
yuuñ to apnā bhī kabhī saath nahīñ de paayā
phir kisī aur kā maiñ saath bhalā kyā detā
tū ne duniyā ke usūloñ pe hī chalnā chāhā
maiñ zamāne ke ishāroñ pe nahīñ chal saktā
merī to jang hai dariyāoñ ke dhārāoñ se
Dar ke maujoñ se kināroñ pe nahīñ chal saktā
merī mahbūb mirī raah meñ kāñTe haiñ bahut
tere pairoñ ke liye koī sitam Thiik na thā
chaar pal saath jo guzre haiñ vahī kaafī hai
umr-bhar saath bitāne kā bharam Thiik na thā
tū ne achchhā hī kiyā raah badal lī apnī
maiñ tire qurb ke qābil to kabhī thā hī nahīñ
ham-safar terā maiñ aise meñ kahāñ tak bantā
maiñ ne apnā to kabhī saath nibhāyā hī nahīñ
tū ne achchhā hī kiyā mujh se kināra kar ke
tu ne achchha hi kiya mujh se kinara kar ke
main tujhe yas-o-aziyyat ke siwa kya deta
yun to apna bhi kabhi sath nahin de paya
phir kisi aur ka main sath bhala kya deta
tu ne duniya ke usulon pe hi chalna chaha
main zamane ke ishaaron pe nahin chal sakta
meri to jang hai dariyaon ke dhaaraon se
Dar ke maujon se kinaron pe nahin chal sakta
meri mahbub meri rah mein kanTe hain bahut
tere pairon ke liye koi sitam Thik na tha
chaar pal sath jo guzre hain wahi kafi hai
umr-bhar sath bitane ka bharam Thik na tha
tu ne achchha hi kiya rah badal li apni
main tere qurb ke qabil to kabhi tha hi nahin
ham-safar tera main aise mein kahan tak banta
main ne apna to kabhi sath nibhaya hi nahin
tu ne achchha hi kiya mujh se kinara kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.