kirnon ki shahzadi
nīl-gagan ke sāgar meñ ye chāñd kī kashtī Dol rahī hai
jaise ek sunahrī titlī uḌne ko par taul rahī hai
log ye kahte haiñ kashtī meñ chāñd kī buḌhiyā hotī hai
rātoñ ko jaagā kartī hai aur din bhar vo sotī hai
lekin maiñ ne ye bhī sunā hai chāñd meñ ik ābādī hai
is kashtī ko khene vaalī kirnoñ kī shahzādī hai
ye shahzādī añdhiyāre kā raaj miTāne aatī hai
raat ke dar tak ujiyāre kā diip jalāne aatī hai
ye shahzādī sub.h ko nazroñ se ojhal ho jaatī hai
aur kisī gumnām jazīre meñ jā kar so jaatī hai
maiñ bistar par chup leTā huuñ raat jahāñ se bhaag rahī hai
kirnoñ kī shahzādī lekin sub.h kī fikr meñ jaag rahī hai
nil-gagan ke sagar mein ye chand ki kashti Dol rahi hai
jaise ek sunahri titli uDne ko par taul rahi hai
log ye kahte hain kashti mein chand ki buDhiya hoti hai
raaton ko jaga karti hai aur din bhar wo soti hai
lekin main ne ye bhi suna hai chand mein ek aabaadi hai
is kashti ko khene wali kirnon ki shahzadi hai
ye shahzadi andhiyare ka raj miTane aati hai
raat ke dar tak ujiyare ka dip jalane aati hai
ye shahzadi subh ko nazron se ojhal ho jati hai
aur kisi gumnam jazire mein ja kar so jati hai
main bistar par chup leTa hun raat jahan se bhag rahi hai
kirnon ki shahzadi lekin subh ki fikr mein jag rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.