kirshn ka KHitab
fanā hone lagtā hai jis vaqt dharm
masīhā-nafas ban ke aatā huuñ maiñ
atā kar ke us ko na.ī zindagī
tabāhī kī zad se bachātā huuñ maiñ
miTā kar zamāne se bātil kā naam
sadāqat kā Dankā bajātā huuñ maiñ
kamar-basta hote haiñ jo jang par
unheñ rāh-e-ulfat dikhātā huuñ maiñ
suneñ jo na phir bhī nasīhat mirī
zamāne se un ko miTātā huuñ maiñ
jo laḌte haiñ duniyā meñ haq ke liye
zafar-yāb un ko banātā huuñ maiñ
bajā kar kabhī to madhur bansurī
mohabbat ke naġhme sunātā huuñ maiñ
kabhī garm kartā huuñ maidān-e-jang
shujā.at ke jauhar dikhātā huuñ maiñ
kabhī jang meñ bahr-e-irfān-e-haq
fasāhat ke dariyā bahātā huuñ maiñ
sikhā kar bashar ko rumūz-e-hayāt
farishtoñ kā ham-sar banātā huuñ maiñ
jo laate haiñ īmāñ mirī zaat par
gunāhoñ se un ko bachātā huuñ maiñ
unheñ baḳhshtā huuñ baqā-e-davām
jinheñ mo'taqid apnā paatā huuñ maiñ
sharan meñ jo aate haiñ 'sābir' mirī
tanāsuḳh se un ko chhuḌātā huuñ maiñ
fana hone lagta hai jis waqt dharm
masiha-nafas ban ke aata hun main
ata kar ke us ko nai zindagi
tabahi ki zad se bachata hun main
miTa kar zamane se baatil ka nam
sadaqat ka Danka bajata hun main
kamar-basta hote hain jo jang par
unhen rah-e-ulfat dikhata hun main
sunen jo na phir bhi nasihat meri
zamane se un ko miTata hun main
jo laDte hain duniya mein haq ke liye
zafar-yab un ko banata hun main
baja kar kabhi to madhur bansuri
mohabbat ke naghme sunata hun main
kabhi garm karta hun maidan-e-jang
shujaat ke jauhar dikhata hun main
kabhi jang mein bahr-e-irfan-e-haq
fasahat ke dariya bahata hun main
sikha kar bashar ko rumuz-e-hayat
farishton ka ham-sar banata hun main
jo late hain iman meri zat par
gunahon se un ko bachata hun main
unhen baKHshta hun baqa-e-dawam
jinhen mo'taqid apna pata hun main
sharan mein jo aate hain 'sabir' meri
tanasuKH se un ko chhuData hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.