kisan
barahna jism pasīne meñ ġharq nange paañv
magar sukūn hai yuuñ dil meñ jaise ThanDī chhāñv
gehūñ ke khet se kuTiyā meñ apnī aayā hai
tasavvurāt kī duniyā bhī saath laayā hai
hai ik phaTī huī kambal ġharīb kāñdhoñ par
siyāh abr pe rah rah kar uTh rahī hai nazar
paḌā hai khet kā sāmān ek kone meñ
haiñ is kī ziist ke asrār pā ke khone meñ
nafas hai phūlī huī jaise phūñk bhatte kī
rakhī hai kaan pe biiḌī banā ke patte kī
lahū kī lahr sī hai maujzan pasīne meñ
baqā-e-dahr kā hai raaz us ko jiine meñ
har ek saañs hai is kī bahār-e-āzādī
ki is ġhulām kā dil hai dayār-e-āzādī
barahna jism pasine mein gharq nange panw
magar sukun hai yun dil mein jaise ThanDi chhanw
gehun ke khet se kuTiya mein apni aaya hai
tasawwuraat ki duniya bhi sath laya hai
hai ek phaTi hui kambal gharib kandhon par
siyah abr pe rah rah kar uTh rahi hai nazar
paDa hai khet ka saman ek kone mein
hain is ki zist ke asrar pa ke khone mein
nafas hai phuli hui jaise phunk bhatte ki
rakhi hai kan pe biDi bana ke patte ki
lahu ki lahr si hai maujzan pasine mein
baqa-e-dahr ka hai raaz us ko jine mein
har ek sans hai is ki bahaar-e-azadi
ki is ghulam ka dil hai dayar-e-azadi
- Maikhana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.