Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi shahr mein ek rahta tha raja

Azra Naqvi

kisi shahr mein ek rahta tha raja

Azra Naqvi

MORE BYAzra Naqvi

    kisī shahr meñ ek rahtā thā raajā

    vo raaja thā bajtā huā ek baajā

    yuuñ aate jātoñ se takrār kartā

    havā par bhī talvār se vaar kartā

    sunā.ūñ tumheñ ek din kahānī

    masahrī pe baiThī thī raaja raanī

    ki itne meñ ik nannhī munnī c chiḌiyā

    liye choñch meñ ek chhoTā tinkā

    chalī aa.ī raanī ke kamre ke andar

    aur aa baiThī raanī ke bilkul barābar

    ye dekhā to raaja ne tevrī chaḌhā.ī

    uThā aur ġhusse se taalī bajā.ī

    diyā hukm faujoñ sālār aa.e

    ki fauj aa ke chiḌiyā pe golī chaliye

    milā hukm faujoñ sālār aaya

    parā aa ke faujoñ us ne jamāyā

    magar nannhī chiḌiyā thī himmat aalī

    kiyā us ne dushman har vaar ḳhālī

    vo uḌtī phirī saare kamre ke andar

    aur aa baiThī raanī ke kañdhe ke uupar

    to raanī ko us par bahut pyaar aaya

    use apne āñchal meñ jhaT-paT chhupāyā

    ye dekhā to raaja bahut saTpaTāyā

    magar apnī raanī se kuchh kah na paayā

    to raanī use dekh kar muskurā

    uThī aur khiḌkī se chiḌiyā uḌā

    kisi shahr mein ek rahta tha raja

    wo raja tha bajta hua ek baja

    yun hi aate jaton se takrar karta

    hawa par bhi talwar se war karta

    sunaun tumhein ek din ki kahani

    masahri pe baiThi thi raja ki rani

    ki itne mein ek nannhi munni c chiDiya

    liye chonch mein ek chhoTa sa tinka

    chali aai rani ke kamre ke andar

    aur aa baiThi rani ke bilkul barabar

    ye dekha to raja ne tewri chaDhai

    uTha aur ghusse se tali bajai

    diya hukm faujon ka salar aae

    ki fauj aa ke chiDiya pe goli chaliye

    mila hukm faujon ka salar aaya

    para aa ke faujon ka us ne jamaya

    magar nannhi chiDiya thi himmat ki aali

    kiya us ne dushman ka har war KHali

    wo uDti phiri sare kamre ke andar

    aur aa baiThi rani ke kandhe ke upar

    to rani ko us par bahut pyar aaya

    use apne aanchal mein jhaT-paT chhupaya

    ye dekha to raja bahut saTpaTaya

    magar apni rani se kuchh kah na paya

    to rani use dekh kar muskura di

    uThi aur khiDki se chiDiya uDa di

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now