kisi tange mein phir saman rakkha ja raha hai
kisī kī āñsuoñ se tar-ba-tar dāḌhī ke
kuchh TuuTe hue baal
aaj bhī mumkin hai mil jaa.eñ
baḌe sandūq meñ rakkhe
mere bad-rañg se ik suitar par
usī din kā koī ham-shakl din hai
kisī tāñge meñ phir sāmān rakkhā jā rahā hai
vahī dahlīz hai
lekin mire dāḌhī nahīñ hai
mirā laḌkā gale se lag ke mere
thapak kar piiTh merī
buzurgoñ kī tarah mujh ko tasallī de rahā hai
aur maiñ ik bachche kī sūrat ro rahā huuñ
hichkiyoñ se
kisi ki aansuon se tar-ba-tar daDhi ke
kuchh TuTe hue baal
aaj bhi mumkin hai mil jaen
baDe sanduq mein rakkhe
mere bad-rang se ek suitar par
usi din ka koi ham-shakl din hai
kisi tange mein phir saman rakkha ja raha hai
wahi dahliz hai
lekin mere daDhi nahin hai
mera laDka gale se lag ke mere
thapak kar piTh meri
buzurgon ki tarah mujh ko tasalli de raha hai
aur main ek bachche ki surat ro raha hun
hichkiyon se
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 110)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.