kitab
kitāb kholiye paḌhiye kuchh āgahī ke liye
ki aaj ilm zarūrī hai zindagī ke liye
isī safīr ne aalam ko āgahī dī hai
isī charāġh ne duniyā ko raushnī dī hai
isī chaman meñ ka.ī phuul muskurāte haiñ
nadī to kyā hai samundar bhī Duub jaate haiñ
azal se is kī mohabbat se āshnā.ī hai
ye bhīgtī huī palkeñ nichoḌ laa.ī hai
isī kī oT meñ chhup-chhup ke hiir rotī hai
isī kī chhāñv meñ pāgal priit sotī hai
is anjuman meñ halākū ke hoñT silte haiñ
adab se baiThe hue bādshāh milte haiñ
is aa.ine ko tamaddun kī aabrū kah lo
yā ek shahr jise shahr-e-ārzū kah lo
ye saare ramz ke parde uThāne lagtī hai
ye dil kī baat har ik ko sunāne lagtī hai
isī kī aañkh se āñkheñ dikhā.ī detī haiñ
isī maqām se rāheñ dikhā.ī detī haiñ
lipaT ke ūñghne lagtī hai māh-pāroñ se
ye jā ke Thokareñ khātī hai shīr-ḳhvāroñ se
ḳhudā kī zaat ne shohrat isī se paa.ī hai
ye is zamīñ pe payambar ke saath aa.ī hai
kitab kholiye paDhiye kuchh aagahi ke liye
ki aaj ilm zaruri hai zindagi ke liye
isi safir ne aalam ko aagahi di hai
isi charagh ne duniya ko raushni di hai
isi chaman mein kai phul muskuraate hain
nadi to kya hai samundar bhi Dub jate hain
azal se is ki mohabbat se aashnai hai
ye bhigti hui palken nichoD lai hai
isi ki oT mein chhup-chhup ke hir roti hai
isi ki chhanw mein pagal prit soti hai
is anjuman mein halaku ke honT silte hain
adab se baiThe hue baadshah milte hain
is aaine ko tamaddun ki aabru kah lo
ya ek shahr jise shahr-e-arzu kah lo
ye sare ramz ke parde uThane lagti hai
ye dil ki baat har ek ko sunane lagti hai
isi ki aankh se aankhen dikhai deti hain
isi maqam se rahen dikhai deti hain
lipaT ke unghne lagti hai mah-paron se
ye ja ke Thokaren khati hai shir-KHwaron se
KHuda ki zat ne shohrat isi se pai hai
ye is zamin pe payambar ke sath aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.