kitna achchha lagta hai
chāñd hai kitnā tanhā sā
raat bhī kitnī akelī hai
raat kī tārīkī meñ kho jaanā
kitnā achchhā lagtā hai
maiñ bhī chand ḳhvāb sameTe
raat kī god meñ aa baiThī huuñ
jāgtī aañkh meñ
sapne samonā
kitnā achchhā lagtā hai
tanhā raat aur tanhā maiñ
donoñ bāteñ karte haiñ
yuuñ tanhā.ī meñ bāteñ karnā
kitnā achchhā lagtā hai
tāroñ kī jhilmil jagtī phir so jaatī hai
in tāroñ ko takte rahnā
kitnā achchhā lagtā hai
duniyā ke fareb makkārī se
ye be-jān nazzāre behtar haiñ
sab se chhup kar in meñ khonā
kitnā achchhā lagtā hai
chand hai kitna tanha sa
raat bhi kitni akeli hai
raat ki tariki mein kho jaana
kitna achchha lagta hai
main bhi chand KHwab sameTe
raat ki god mein aa baiThi hun
jagti aankh mein
sapne samona
kitna achchha lagta hai
tanha raat aur tanha main
donon baaten karte hain
yun tanhai mein baaten karna
kitna achchha lagta hai
taron ki jhilmil jagti phir so jati hai
in taron ko takte rahna
kitna achchha lagta hai
duniya ke fareb makkari se
ye be-jaan nazzare behtar hain
sab se chhup kar in mein khona
kitna achchha lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.