shor kuchh kam ho to
niiñd meñ uljhī huī sāñsoñ kī kahānī sunūñ
raushniyoñ se jhulsī huī sochoñ kī fariyād sunūñ
shor kuchh kam ho to
dariyā ko sunūñ
dard ke khanakte hue jal-tarang ko sunūñ
shor kuchh kam ho to
merā saaya nahīñ ho saktā
vo ghar jaisā nahīñ hai
to kyā
merā āsmān nahīñ ho saktā
vo pyaas jaisā nahīñ hai
to kyā
merā samundar nahīñ ho saktā
vo dost jaisā nahīñ hai
to kyā
merā ḳhudā nahīñ ho saktā
sūraj kī gardish ko sunūñ
lamhoñ ke bahte hue sāgar ko sunūñ
shor kuchh kam ho to
dhuup kī sangat meñ
raqqās havāoñ ke sangīt ko sunūñ
pyaas meñ bhīgī huī
bārish ke qatroñ ko sunūñ
shor kuchh kam ho to
bhaḌakte hue diye kī
machaltī huī zid ko sunūñ
dil se ubhartī huī be-niyāz
azaañ ko sunūñ
shor kuchh kam ho to
apne ḳhudā ko sunūñ
shor kuchh kam ho to
nind mein uljhi hui sanson ki kahani sunun
raushniyon se jhulsi hui sochon ki fariyaad sunun
shor kuchh kam ho to
dariya ko sunun
dard ke khanakte hue jal-tarang ko sunun
shor kuchh kam ho to
mera saya nahin ho sakta
wo ghar jaisa nahin hai
to kya
mera aasman nahin ho sakta
wo pyas jaisa nahin hai
to kya
mera samundar nahin ho sakta
wo dost jaisa nahin hai
to kya
mera KHuda nahin ho sakta
suraj ki gardish ko sunun
lamhon ke bahte hue sagar ko sunun
shor kuchh kam ho to
dhup ki sangat mein
raqqas hawaon ke sangit ko sunun
pyas mein bhigi hui
barish ke qatron ko sunun
shor kuchh kam ho to
bhaDakte hue diye ki
machalti hui zid ko sunun
dil se ubharti hui be-niyaz
azan ko sunun
shor kuchh kam ho to
apne KHuda ko sunun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.