kitne din ho gae
kitne din ho ga.e
sochte sochte
kis liye
us ke jaane se itnī udāsī huī
kis liye
us ke jaane se mujh par zavāl aa gayā
kis liye
mujh pe ḳhushiyāñ girāñ ho ga.iiñ
kis liye
itnī muddat se hoñToñ pe koī du'ā hī nahīñ
zindagī tere ḳhāne meñ muddat huī maiñ ne tartīb se kuchh rakhā hī nahīñ
kitnī muddat huī zindagī maiñ ne tujh ko jiyā hī nahīñ
mujh ko lagtā hai yūñhī sulagte hue
yūñhī bechainiyoñ se guzarte hue
jā chuke vaqt ko yuuñ pakaḌte hue
ek din aa.egā saañs ruk jā.egī
ek din aa.egā maut aa jā.egī
kitne din ho gae
sochte sochte
kis liye
us ke jaane se itni udasi hui
kis liye
us ke jaane se mujh par zawal aa gaya
kis liye
mujh pe KHushiyan giran ho gain
kis liye
itni muddat se honTon pe koi du'a hi nahin
zindagi tere KHane mein muddat hui main ne tartib se kuchh rakha hi nahin
kitni muddat hui zindagi main ne tujh ko jiya hi nahin
mujh ko lagta hai yunhi sulagte hue
yunhi bechainiyon se guzarte hue
ja chuke waqt ko yun pakaDte hue
ek din aaega sans ruk jaegi
ek din aaega maut aa jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.