Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitni yaaden purani chali aati hain

Ashu Tosh

kitni yaaden purani chali aati hain

Ashu Tosh

MORE BYAshu Tosh

    raat hote jab niile ākāsh meñ

    dil tanhā.iyāñ jagmagā jaatī haiñ

    biite lamhoñ jaadū jagāte hue

    panchhiyoñ qatāreñ guzar jaatī haiñ

    kitnī yādeñ purānī chalī ātīñ haiñ

    bārishoñ hoñ chāhe vo sargoshiyāñ

    hoñ vīrān rāhoñ ḳhāmoshiyāñ

    ghane jangaloñ hasīñ rāhateñ

    duur mujh se bahut mujh ko le jaatī haiñ

    kitnī yādeñ purānī chalī aatī haiñ

    ḳhvāb aise bhī dil meñ chale aate haiñ

    saare ehsās jab yuuñ chhiTak jaate haiñ

    jaise sūkhe se tālāb sat.h par

    aaḌī tirchhī darāḌeñ ubhar aatī haiñ

    kitnī yādeñ purānī chalī aatī haiñ

    duur mujh se khaḌī ajnabī ajnabī

    rūThī rūThī zarā jis ghaḌī zindagī

    jab bhī tanhā.ī pūchhtī hai sabab

    tan meñ sāñsoñ se sāñseñ ulajh jaatī haiñ

    kitnī yādeñ purānī chalī aatī haiñ

    raat hote hi jab nile aakash mein

    dil ki tanhaiyan jagmaga jati hain

    bite lamhon ka jadu jagate hue

    panchhiyon ki qataren guzar jati hain

    kitni yaaden purani chali aatin hain

    barishon ki hon chahe wo sargoshiyan

    ya hon viran rahon ki KHamoshiyan

    ya ghane jangalon ki hasin rahaten

    dur mujh se bahut mujh ko le jati hain

    kitni yaaden purani chali aati hain

    KHwab aise bhi dil mein chale aate hain

    sare ehsas jab yun chhiTak jate hain

    jaise sukhe se talab ki sath par

    aaDi tirchhi daraDen ubhar aati hain

    kitni yaaden purani chali aati hain

    dur mujh se khaDi ajnabi ajnabi

    ruThi ruThi zara jis ghaDi zindagi

    jab bhi tanhai ka puchhti hai sabab

    tan mein sanson se sansen ulajh jati hain

    kitni yaaden purani chali aati hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now