koh-e-nida
abhī koh-e-nidā par shor phailā hai
kise āvāz deñ
kis ko pukāreñ ham
abhī sarsabz āvāzoñ kā
mausam bhī nahīñ aayā
abhī ḳhāmoshiyoñ ke
Dher saare mom haiñ baaqī
jinheñ āvāz ke zarrīñ tasādum se
pighalnā hai
kaThāloñ ke dahānoñ se guzar kar
tah-ba-tah jamnā bhī hai un ko
magar āvāz kī halkī sī aahaT bhī nahīñ aatī
na jaane kaun sī vaadī meñ ḳhema-zan
sukūt-e-lam-yazal ke giit gaatī hai
tilism-e-ḳhāmushī meñ jazb ho kar
shor ke haijān se āzād ho jaanā
zamāne bhar kī
be-matlab sadāoñ meñ
surūd-e-ḳhāmushī kā nuur bhar denā
yahī āvāz kī me.arāj hai shāyad
yahī āvāz kī me.arāj hai shāyad
abhī koh-e-nidā par shor phailā hai
kise āvāz deñ
kis ko pukāreñ ham
abhi koh-e-nida par shor phaila hai
kise aawaz den
kis ko pukaren hum
abhi sarsabz aawazon ka
mausam bhi nahin aaya
abhi KHamoshiyon ke
Dher sare mom hain baqi
jinhen aawaz ke zarrin tasadum se
pighalna hai
kaThaalon ke dahanon se guzar kar
tah-ba-tah jamna bhi hai un ko
magar aawaz ki halki si aahaT bhi nahin aati
na jaane kaun si wadi mein KHema-zan
sukut-e-lam-yazal ke git gati hai
tilism-e-KHamushi mein jazb ho kar
shor ke haijaan se aazad ho jaana
zamane bhar ki
be-matlab sadaon mein
surud-e-KHamushi ka nur bhar dena
yahi aawaz ki mearaj hai shayad
yahi aawaz ki mearaj hai shayad
abhi koh-e-nida par shor phaila hai
kise aawaz den
kis ko pukaren hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.