kohr ke us par dekh
raushnī nikhrī huī hai kohar ke us paar dekh
tīrgī sahmī huī hai kohar ke us paar dekh
har taraf phailī huī bārūd kī hai bū magar
fāḳhta baiThī huī hai kohar ke us paar dekh
mausamoñ kī zardiyoñ se is qadar na ḳhauf khā
bū-e-gul mahkī huī hai kohar ke us paar dekh
be-sukūnī be-qarārī sab ke sab haiñ aarzī
be-ḳhudī chhā.ī huī hai kohar ke us paar dekh
hazrat-e-bal kī kahānī bābarī masjid kā rog
baḳhsh de tū laġhzisheñ sab bhej de abr-e-karam
hai ġhanīmat ye hī 'farruḳh' be-hisī ke daur meñ
tum ġham-e-kashmīr bāñdho sher meñ hī kam se kam
raushni nikhri hui hai kohar ke us par dekh
tirgi sahmi hui hai kohar ke us par dekh
har taraf phaili hui barud ki hai bu magar
faKHta baiThi hui hai kohar ke us par dekh
mausamon ki zardiyon se is qadar na KHauf kha
bu-e-gul mahki hui hai kohar ke us par dekh
be-sukuni be-qarari sab ke sab hain aarzi
be-KHudi chhai hui hai kohar ke us par dekh
hazrat-e-bal ki kahani babari masjid ka rog
baKHsh de tu laghzishen sab bhej de abr-e-karam
hai ghanimat ye hi 'farruKH' be-hisi ke daur mein
tum gham-e-kashmir bandho sher mein hi kam se kam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.