Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi aawaz nahin

Tanveer Anjum

koi aawaz nahin

Tanveer Anjum

MORE BYTanveer Anjum

    gard hamāre gharoñ tak phail ga.ī

    us mausam meñ koī bārish nahīñ

    ham ne bādal ke āḳhirī TukḌe ko guzar jaane diyā

    ab vo mere nā-farmān beTe tarah

    vāpas nahīñ aa.egā

    Not a Sound

    dushmanī hamāre diloñ tak phail ga.ī

    us raat meñ koī karāmāt nahīñ

    ham ne paanī ko kīchaḌ meñ mil jaane diyā

    ab vo būḌhe khoī huī bīnā.ī tarah vāpas nahīñ aa.egā

    maut hamāre jismoñ tak phail ga.ī

    in galiyoñ meñ koī āvāz nahīñ

    ham ne ḳhuun ko saḌkoñ par bah jaane diyā

    ab vo mere bichhḌe hue ḳhudā tarah

    vāpas nahīñ aa.egā

    Dust has spread through our homes

    there's no rain in this season

    we let the last bit of torn cloud pass away

    now

    like my disobedient son

    it won't come back

    Hatred has spread through our hearts

    there's no miracle in the night

    we let the water run into the mud

    now

    like an old man's lost vision

    it won't come back

    Death has spread through our bodies

    there's no sound in these lanes

    we let blood run in the streets

    now

    like my lost god

    it won't come back

    gard hamare gharon tak phail gai

    us mausam mein koi barish nahin

    hum ne baadal ke aaKHiri TukDe ko guzar jaane diya

    ab wo mere na-farman beTe ki tarah

    wapas nahin aaega

    Not a Sound

    dushmani hamare dilon tak phail gai

    us raat mein koi karamat nahin

    hum ne pani ko kichaD mein mil jaane diya

    ab wo buDhe ki khoi hui binai ki tarah wapas nahin aaega

    maut hamare jismon tak phail gai

    in galiyon mein koi aawaz nahin

    hum ne KHun ko saDkon par bah jaane diya

    ab wo mere bichhDe hue KHuda ki tarah

    wapas nahin aaega

    Dust has spread through our homes

    there's no rain in this season

    we let the last bit of torn cloud pass away

    now

    like my disobedient son

    it won't come back

    Hatred has spread through our hearts

    there's no miracle in the night

    we let the water run into the mud

    now

    like an old man's lost vision

    it won't come back

    Death has spread through our bodies

    there's no sound in these lanes

    we let blood run in the streets

    now

    like my lost god

    it won't come back

    Source :
    • Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 208)
    • Author : Asif Farrukhi
    • Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
    • Edition : 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now