koi dud se ban jata hai wajud
aadhī raat ko phone bajā
aur ubhrī ik an-jānī maġhlūb sadā
apnī chīḳh kī dahshat se
abhī abhī vo jaagī hai mālūm huā
baizavī chehra
be-sūrat
sar par muḌe-tuḌe do siiñg
aur siine ke vast meñ ik
panj-konī aañkh
aañkh kī putlī meñ merā hī aks muqayyad
ātish-fishāñ pahāḌ kī gahrā.ī se ubhar kar
ḳhūnī panje
bheñch bheñch kar
khurdure lahje meñ vo chīḳhā
apnī marzī kī to sub.h bistar par
jism nahīñ
makḌī kā jaalā pāogī
merā hukm hai aa jaao
aur barahna hote hī
mujh ko chhū kar
mere jaisī ban jaao
aa jaao
aa jaao
aa jaao
aadhi raat ko phone baja
aur ubhri ek an-jaani maghlub sada
apni chiKH ki dahshat se
abhi abhi wo jagi hai malum hua
baizawi chehra
be-surat
sar par muDe-tuDe do sing
aur sine ke wast mein ek
panj-koni aankh
aankh ki putli mein mera hi aks muqayyad
aatish-fishan pahaD ki gahrai se ubhar kar
KHuni panje
bhench bhench kar
khurdure lahje mein wo chiKHa
apni marzi ki to subh bistar par
jism nahin
makDi ka jala paogi
mera hukm hai aa jao
aur barahna hote hi
mujh ko chhu kar
mere jaisi ban jao
aa jao
aa jao
aa jao
- Book : Pakistani Adab (Pg. 133)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.