koi kapDe kaise badal gaya
maiñ apne libās pheñktī jā rahī huuñ
shāyad koī ThiThur rahā ho
kal tumheñ baañT degī
aur miTTī pe koī sīdhī raah nahīñ hai
charāġh ne chuġhlī sīkhī
aur qatār meñ fāsla rakhā
vo vahīñ rah gayā jahāñ se mujhe chalnā thā
daaġh kis kī chitā pe jaleñge
TuuTe khilaune hāthoñ se āzād haiñ
khel maidānoñ meñ rahne lage
biin rassiyoñ pe bajā.ī jaane lagī
parindoñ ke chahchahāne meñ bal paḌ ga.e haiñ
maiñ kafan hārne chalī thī
aur miTTī daryāft kar baiThī
dīvāroñ meñ īñTeñ marne lagīñ
maiñ utrī huuñ
tumhāre qadam kyoñ ghaT rahe haiñ
daar ne rihā.ī paa.ī koī na.ī sazā taqsīm karo
lahū meñ āvāz rah ga.ī
koī kaise kapḌe badal gayā
main apne libas phenkti ja rahi hun
shayad koi ThiThur raha ho
kal tumhein banT degi
aur miTTi pe koi sidhi rah nahin hai
charagh ne chughli sikhi
aur qatar mein fasla rakha
wo wahin rah gaya jahan se mujhe chalna tha
dagh kis ki chita pe jalenge
TuTe khilaune hathon se aazad hain
khel maidanon mein rahne lage
bin rassiyon pe bajai jaane lagi
parindon ke chahchahane mein bal paD gae hain
main kafan haarne chali thi
aur miTTi daryaft kar baiThi
diwaron mein inTen marne lagin
main utri hun
tumhaare qadam kyon ghaT rahe hain
dar ne rihai pai koi nai saza taqsim karo
lahu mein aawaz rah gai
koi kaise kapDe badal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.