koi nam hi rakh len
ḳhvāboñ ke jazīre se kisī roz nikal kar
ta.abīr ke phaile hue sahrā meñ bhī ghūmeñ
kab tak yuuñ hī
motī kī tarah siip meñ ham qaid raheñge
ye dā.era-dar-dā.era baḌhtī huī uljhan
ye zehn pe har lamha savālāt ke pahre
sochoñ kā ye sailāb kahāñ jā ke rukegā
kis moḌ pe jazboñ kā ye tūfān thamegā
ḳhushbū kā faqat phuul hī maskan to nahīñ hai
ḳhushbū to havāoñ ke bhī hamrāh chalī hai
phir kyoñ ye takalluf ye tasanño ye banāvaT
milte haiñ to phir mil ke lipaT kyoñ nahīñ jaate
dar-parda kabhī sher kabhī giit kī lai par
ma.asūm vafāoñ kā ye iz.hār hai kaisā
ye pyaar hai kaisā
hoñToñ meñ dabī baat kā ab zā.iqa chakh leñ
be-nām se rishte kā koī naam hī rakh leñ
KHwabon ke jazire se kisi roz nikal kar
tabir ke phaile hue sahra mein bhi ghumen
kab tak yun hi
moti ki tarah sip mein hum qaid rahenge
ye daera-dar-daera baDhti hui uljhan
ye zehn pe har lamha sawalat ke pahre
sochon ka ye sailab kahan ja ke rukega
kis moD pe jazbon ka ye tufan thamega
KHushbu ka faqat phul hi maskan to nahin hai
KHushbu to hawaon ke bhi hamrah chali hai
phir kyon ye takalluf ye tasanno ye banawaT
milte hain to phir mil ke lipaT kyon nahin jate
dar-parda kabhi sher kabhi git ki lai par
masum wafaon ka ye izhaar hai kaisa
ye pyar hai kaisa
honTon mein dabi baat ka ab zaiqa chakh len
be-nam se rishte ka koi nam hi rakh len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.