koyal
aam kī shāḳhoñ meñ mojar is saal bahut kam aayā hai
kyoñ der se koyal kuuk rahī hai
kyā samjhūñ fitrat ke ishāre
hañs kar ik bhole bachche ne bhī saath hī us ke kuuk shurūa kī
jaise chiḌānā chāhtā ho vo
koyal kī is kū hū kū hū par
yā phir donoñ hī vāqif hoñ
baaġh kī bhīnī ḳhushbuoñ se
havā ke jhoñke kyā kahte haiñ
Dāliyāñ jhuk kar kyā suntī haiñ
ġhaur se koyal kī surḳh āñkheñ dekh ke bachcha bol uThā
kyoñ kūktī hai kyoñ rotī hai tū
aam ke phalne aur na phalne se koyal
pyārī koyal tujh ko fā.eda hī kyā hogā
mojar aa.e na aa.e terī balā se
chup rah koyal ranj na kar jā uḌ jā
maiñ ne sunā hai aam ke phalte
terā to muñh pak jā.egā
aam ki shaKHon mein mojar is sal bahut kam aaya hai
kyon der se koyal kuk rahi hai
kya samjhun fitrat ke ishaare
hans kar ek bhole bachche ne bhi sath hi us ke kuk shurua ki
jaise chiDana chahta ho wo
koyal ki is ku hu ku hu par
ya phir donon hi waqif hon
bagh ki bhini KHushbuon se
hawa ke jhonke kya kahte hain
Daliyan jhuk kar kya sunti hain
ghaur se koyal ki surKH aankhen dekh ke bachcha bol uTha
kyon kukti hai kyon roti hai tu
aam ke phalne aur na phalne se koyal
pyari koyal tujh ko faeda hi kya hoga
mojar aae na aae teri bala se
chup rah koyal ranj na kar ja uD ja
main ne suna hai aam ke phalte
tera to munh pak jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.