kuchh aur ho bhi to raegan hai
havā.eñ bhī
bādbāñ bhī mere
samundaroñ ke sukūt meñ
be-libās nasloñ ke reza reza jamāl ke sab nishāñ bhī mere
mire shikasta vajūd kī
lahlahātī fasloñ pe
girne vaalī shafīq shabnam meñ ret ke āsmāñ bhī mere
qadīm lafzoñ ke ġham meñ be-jān manzaroñ ke jahāñ bhī mere
sitāra-e-dil kī vus.atoñ meñ
khile hue jañgaloñ ke asrār sā.atoñ ke gumāñ bhī mere
mire tasavvur ke bojh se TūTtī zamīñ par
halāk hote hue laboñ par vafāoñ ke sab nishāñ bhī mere
gulāb-chehroñ pe
sabz āñkhoñ ke manzaroñ meñ
najāt-e-ġham kī shikasta ḳhvāhish kī raakh merī bujhe hue kārvāñ bhī mere
jo kho ga.e
aur jo aane vaale dinoñ kā dukh hai
vahī mire be-vajūd chehre
sitāra-e-dil kī be-panāhī kā pāsbāñ hai
kuchh aur ho bhī to rā.egāñ hai
hawaen bhi
baadban bhi mere
samundaron ke sukut mein
be-libas naslon ke reza reza jamal ke sab nishan bhi mere
mere shikasta wajud ki
lahlahati faslon pe
girne wali shafiq shabnam mein ret ke aasman bhi mere
qadim lafzon ke gham mein be-jaan manzaron ke jahan bhi mere
sitara-e-dil ki wusaton mein
khile hue jangalon ke asrar saaton ke guman bhi mere
mere tasawwur ke bojh se TuTti zamin par
halak hote hue labon par wafaon ke sab nishan bhi mere
gulab-chehron pe
sabz aankhon ke manzaron mein
najat-e-gham ki shikasta KHwahish ki rakh meri bujhe hue karwan bhi mere
jo kho gae
aur jo aane wale dinon ka dukh hai
wahi mere be-wajud chehre
sitara-e-dil ki be-panahi ka pasban hai
kuchh aur ho bhi to raegan hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 115)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.