kuen ka karb
chāroñ or ḳhāmoshī
chāroñ or sannāTā
Dol udaas
rassī chup
bolnā nahīñ koī
ūñghtī fazāoñ meñ qahqaha nahīñ koī
chūḌiyoñ kī jhankāreñ so ga.ī haiñ jangal meñ
gāgaroñ kī āvāzeñ kho ga.ī haiñ jangal meñ
jāgtā huā
tanhā ik kuaañ añdhere meñ
ḳhāmushī ke ghere meñ
intizār meñ jaise hai ki raat Dhal jaa.e
aur phir ye sannāTā
sub.h ke usī mīThe shor meñ badal jaa.e
chaaron or KHamoshi
chaaron or sannaTa
Dol udas
rassi chup
bolna nahin koi
unghti fazaon mein qahqaha nahin koi
chuDiyon ki jhankaren so gai hain jangal mein
gagaron ki aawazen kho gai hain jangal mein
jagta hua
tanha ek kuan andhere mein
KHamushi ke ghere mein
intizar mein jaise hai ki raat Dhal jae
aur phir ye sannaTa
subh ke usi miThe shor mein badal jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.