kunj-e-mohabbat
ye sunsān rāteñ ye ThanDī havā.eñ ye phailī huī terī yādoñ kī ḳhushbū
ye chup-chāp se peḌ ye ġham ke saa.e ye dil kī kasak ye mohabbat kā jaadū
ye sab jāgte haiñ ye sab sochte haiñ ye sab karvaTeñ le ke haiñ aah bharte
na.ī manziloñ se na.e rāstoñ se na.e moḌ se sab ke sab haiñ guzarte
har ik moḌ par jaise koī khaḌā ho ishāroñ ishāroñ meñ kuchh kah rahā ho
samajh meñ na aa.e koī baat us kī magar jaise chashma sā ik bah rahā ho
koī jaise mīThe madhur giit ke bol maddham suroñ meñ yuñhī gungunā.e
koī jaise tūfāñ dabā.e ho dil meñ kisī se magar phir bhī kuchh kah na paa.e
kuchh alfāz aise jo yuuñ dekhne meñ purāne se haiñ aur kitne hī insāñ
inhīñ ke sahāre se kahte rahe haiñ diloñ kī murādeñ javānī ke armāñ
ye armān ye ārzūeñ hamārī ye kuchh rasmasāte hue phuul jaise
jagā.eñ jinheñ aa ke jhoñke havā ke jinheñ gudgudā jaa.eñ aa aa ke bhauñre
ḳhizāñ kī havāoñ ke chalne se pahle Tapakte hue phuul ke ras meñ Duubā
koī giit sā bun liyā hai bahāroñ ne gaate haiñ ab bhī jise bāġh-o-sahrā
jo kunj-e-mohabbat meñ peḌoñ kī chhantī huī chāñdnī kī zabāñ se hai kahtā
kaho aaj kī raat kaisī guzārī koī raat kī raat milne bhī aayā
ye sunsan raaten ye ThanDi hawaen ye phaili hui teri yaadon ki KHushbu
ye chup-chap se peD ye gham ke sae ye dil ki kasak ye mohabbat ka jadu
ye sab jagte hain ye sab sochte hain ye sab karwaTen le ke hain aah bharte
nai manzilon se nae raston se nae moD se sab ke sab hain guzarte
har ek moD par jaise koi khaDa ho ishaaron ishaaron mein kuchh kah raha ho
samajh mein na aae koi baat us ki magar jaise chashma sa ek bah raha ho
koi jaise miThe madhur git ke bol maddham suron mein yunhi gungunae
koi jaise tufan dabae ho dil mein kisi se magar phir bhi kuchh kah na pae
kuchh alfaz aise jo yun dekhne mein purane se hain aur kitne hi insan
inhin ke sahaare se kahte rahe hain dilon ki muraden jawani ke arman
ye arman ye aarzuen hamari ye kuchh rasmasate hue phul jaise
jagaen jinhen aa ke jhonke hawa ke jinhen gudguda jaen aa aa ke bhaunre
KHizan ki hawaon ke chalne se pahle Tapakte hue phul ke ras mein Duba
koi git sa bun liya hai bahaaron ne gate hain ab bhi jise bagh-o-sahra
jo kunj-e-mohabbat mein peDon ki chhanti hui chandni ki zaban se hai kahta
kaho aaj ki raat kaisi guzari koi raat ki raat milne bhi aaya
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 141)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.