kutub-KHana
shu.ūr-o-fikr kā gahvāra ilm-o-fan kā amiiñ
varaq varaq jahāñ mahke haiñ rang-o-nūr ke phuul
luTā rahī hai jahāñ ḳhāmushī matā.a-e-usūl
jahāñ hayāt ke poshīda raaz hañste haiñ
sukūñ ke hoñToñ pe lafzoñ ke saaz hañste haiñ
jahāñ ma.ānī-o-asrār jagmagāte haiñ
tafakkurāt kī har lahza sham.a jaltī hai
ye raushnī to zamāne ke saath chaltī hai
azal se ġhaur-o-tafakkur hai aadmī kā amal
jalā rahā hai zamīñ par charāġh-e-soz-e-ġhazal
aur ek din mirī sāñsoñ pe koī chāñd ugā
maiñ ne ik manzil-e-maqsad kā nishāñ pā hī liyā
ek muddat se jo ojhal thā nazar se merī
vahī ehsās ujāloñ meñ ravāñ pā hī liyā
aaj khilte haiñ mirī sāñsoñ meñ qurbat ke gulāb
har tamanna mirī barbād nahīñ hotī hai
zaḳhm khātā huuñ to khil jaate haiñ shāḳhoñ pe gulāb
zindagī mā.il-e-fariyād nahīñ hotī hai
kaT rahe haiñ mirī hastī ke shab-o-roz jahāñ
ab bhī rangīn tabassum ke kañval khilte haiñ
vo ishāre jinheñ unvān-e-mohabbat kahiye
shoḳh nazroñ meñ mujhe raqs-kunāñ milte haiñ
lekin ai markaz-e-tahzīb-o-tamaddun mujh ko
yuuñ koī fikr-o-ġham-e-talḳhī-e-hālāt nahīñ
phir bhī jo baat tire naam se mansūb rahī
sab mayassar hai yahāñ sirf vahī baat nahīñ
shuur-o-fikr ka gahwara ilm-o-fan ka amin
waraq waraq jahan mahke hain rang-o-nur ke phul
luTa rahi hai jahan KHamushi mataa-e-usul
jahan hayat ke poshida raaz hanste hain
sukun ke honTon pe lafzon ke saz hanste hain
jahan maani-o-asrar jagmagate hain
tafakkuraat ki har lahza shama jalti hai
ye raushni to zamane ke sath chalti hai
azal se ghaur-o-tafakkur hai aadmi ka amal
jala raha hai zamin par charagh-e-soz-e-ghazal
aur ek din meri sanson pe koi chand uga
main ne ek manzil-e-maqsad ka nishan pa hi liya
ek muddat se jo ojhal tha nazar se meri
wahi ehsas ujalon mein rawan pa hi liya
aaj khilte hain meri sanson mein qurbat ke gulab
har tamanna meri barbaad nahin hoti hai
zaKHm khata hun to khil jate hain shaKHon pe gulab
zindagi mail-e-fariyaad nahin hoti hai
kaT rahe hain meri hasti ke shab-o-roz jahan
ab bhi rangin tabassum ke kanwal khilte hain
wo ishaare jinhen unwan-e-mohabbat kahiye
shoKH nazron mein mujhe raqs-kunan milte hain
lekin ai markaz-e-tahzib-o-tamaddun mujh ko
yun koi fikr-o-gham-e-talKHi-e-haalat nahin
phir bhi jo baat tere nam se mansub rahi
sab mayassar hai yahan sirf wahi baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.