kufa-mizaj
ruko mohabbat ke ḳhānvāde ke shāhzāde
ruko kahāñ ujlatoñ meñ jāneñ luTā rahe ho
kahāñ lahū se charāġh raushan kiye khaḌe ho
ye kaise logoñ se ‘ahd-e-ulfat nibhā rahe ho
ye log vo haiñ jo tere zaḳhmoñ ko ghaav kar ke
havā.eñ deñge sharar ko ḳhud hī alaav kar ke
tirī vafā kā junūñ salāmat ho tā-qayāmat
ye log lekin vafā.eñ becheñge bhaav kar ke
suno mohabbat ke ḳhānvāde ke shāhzāde
ye dhyān rakhnā ki tum se pahle hameñ junūñ thā
hameñ junūñ thā ki is qabīle meñ jaañ luTā.eñ
hameñ junūñ thā ki vahshatoñ se sukūñ banā.eñ
vo ham the sahrā ko jo samundar banā rahe the
vo ham the jo pattharoñ ko dhaḌkan sikhā rahe the
magar ye kūfa-mizāj logoñ kī 'ādateñ haiñ
imaam un kī vafā kī ḳhātir 'alam uThā.e
imaam apne lahū se sahrā meñ rang laa.e
to ye qabīla yazīd kī saf meñ jā rukegā
tumhī ġhalat the tumhī ġhalat ho tumheñ kahegā
suno mohabbat ke ḳhānvāde ke shāhzāde
ye bevafā.ī kā silsila hai nahīñ rukegā
ruko mohabbat ke KHanwade ke shahzade
ruko kahan ujlaton mein jaanen luTa rahe ho
kahan lahu se charagh raushan kiye khaDe ho
ye kaise logon se ‘ahd-e-ulfat nibha rahe ho
ye log wo hain jo tere zaKHmon ko ghaw kar ke
hawaen denge sharar ko KHud hi alaw kar ke
teri wafa ka junun salamat ho ta-qayamat
ye log lekin wafaen bechenge bhaw kar ke
suno mohabbat ke KHanwade ke shahzade
ye dhyan rakhna ki tum se pahle hamein junun tha
hamein junun tha ki is qabile mein jaan luTaen
hamein junun tha ki wahshaton se sukun banaen
wo hum the sahra ko jo samundar bana rahe the
wo hum the jo pattharon ko dhaDkan sikha rahe the
magar ye kufa-mizaj logon ki 'adaten hain
imam un ki wafa ki KHatir 'alam uThae
imam apne lahu se sahra mein rang lae
to ye qabila yazid ki saf mein ja rukega
tumhi ghalat the tumhi ghalat ho tumhein kahega
suno mohabbat ke KHanwade ke shahzade
ye bewafai ka silsila hai nahin rukega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.