kya farq paDta hai
tumhārā des kaun sā hai
yā agar hamārī taḳhtiyoñ pe judā.ī likhī ho
aur duurī kabhī tai na kī jā saktī ho
kyā farq paḌtā hai
agar kahīñ kisī zamāne kisī maqām kisī had par
maiñ aur tum ek dūsre ke liye
sirf ek maddham hotā huā nuqta hoñ
aur tamām safar be-ma.anī ho
maiñ jāntī huuñ ki na.ī zamīn tumheñ raas aa ga.ī hai
tumhāre pairoñ meñ ārām-dah jo guzar haiñ
aur raste itmīnān bhare haiñ
to phir is se kyā farq paḌtā hai
ki tum lakīr ke kis taraf rahte ho aur maiñ kis taraf
or ye ki donoñ atrāf ke din raat
ek dūsre se kitne muḳhtalif haiñ
merī āñkheñ tumhārī yaad se vuzū kartī haiñ
aur
dil tumheñ mohabbat ke hadiye bhejte nahīñ thaktā
tumhaara des kaun sa hai
ya agar hamari taKHtiyon pe judai likhi ho
aur duri kabhi tai na ki ja sakti ho
kya farq paDta hai
agar kahin kisi zamane kisi maqam kisi had par
main aur tum ek dusre ke liye
sirf ek maddham hota hua nuqta hon
aur tamam safar be-mani ho
main jaanti hun ki nai zamin tumhein ras aa gai hai
tumhaare pairon mein aaram-dah jo guzar hain
aur raste itminan bhare hain
to phir is se kya farq paDta hai
ki tum lakir ke kis taraf rahte ho aur main kis taraf
or ye ki donon atraf ke din raat
ek dusre se kitne muKHtalif hain
meri aankhen tumhaari yaad se wuzu karti hain
aur
dil tumhein mohabbat ke hadiye bhejte nahin thakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.