kya KHuda koi nahin
log gumān kar baiThe haiñ ke ḳhudā koī nahīñ
har taraf nizām badal rahā hai
parindoñ ke giit ab shor kī
shakl iḳhtiyār kar chuke haiñ
pahāḌ guzishta do dahā.īyoñ se ġham-zada haiñ
qahqahoñ ne ġhamoñ se dostī kar lī hai
ab parinde shahr kā ruḳh nahīñ karte
insān insānoñ se ḳhaufzada hai
bahtī naddiyāñ ab vīrān āvāzeñ nikāltī haiñ
samundar kisī baḌe hamle kī tayyārī kar rahā hai
zamīn logoñ se tang aa kar apne madār meñ
ghūmnā band kar chukī hai
pahāḌ ab zamīn kī giraft se āzādī chāhte haiñ
log apnī marzī kar rahe haiñ
tavā.ifoñ ke paañv chūmte aur biivī ko
ḳhushiyāñ dene se katrāte haiñ
din-bhar hasīnoñ ke jismoñ ke ḳhadd-o-ḳhāl māpte
shaam ko inhīñ āñkhoñ se sapne dekhte
aur sochte haiñ ke ḳhudā koī nahīñ
vīrān saḌkoñ par reñgtī ḳhāmoshī na jaane
kitne insān nigal chukī hai
mohabbat ke haath ab be-shumār logoñ ke
ḳhuun se rang chuke haiñ
har chiiz ḳhaufzada hai
magar ḳhudā abhī bhī kisī gahrī
soch meñ mubtalā hai
log guman kar baiThe hain ke KHuda koi nahin
har taraf nizam badal raha hai
parindon ke git ab shor ki
shakl iKHtiyar kar chuke hain
pahaD guzishta do dahaiyon se gham-zada hain
qahqahon ne ghamon se dosti kar li hai
ab parinde shahr ka ruKH nahin karte
insan insanon se KHaufzada hai
bahti naddiyan ab viran aawazen nikalti hain
samundar kisi baDe hamle ki tayyari kar raha hai
zamin logon se tang aa kar apne madar mein
ghumna band kar chuki hai
pahaD ab zamin ki giraft se aazadi chahte hain
log apni marzi kar rahe hain
tawaifon ke panw chumte aur biwi ko
KHushiyan dene se katraate hain
din-bhar hasinon ke jismon ke KHadd-o-KHal mapte
sham ko inhin aankhon se sapne dekhte
aur sochte hain ke KHuda koi nahin
viran saDkon par rengti KHamoshi na jaane
kitne insan nigal chuki hai
mohabbat ke hath ab be-shumar logon ke
KHun se rang chuke hain
har chiz KHaufzada hai
magar KHuda abhi bhi kisi gahri
soch mein mubtala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.