kya wo main hi tha
kyā vo maiñ hī thā
jis ne
itnī ġhazleñ nazmeñ itne nāTak
aur na-jāne kyā kuchh likhā
merī āñkheñ
mīloñ duur falak par uḌtī huī patangeñ dekh ke
un meñ farq batā saktī thiiñ
badminton ke court ke āḳhirī kone se
palak jhapakne meñ aage net par aatā thā
aur palaT kar pal meñ
vāpas dūsre kone tak jaatā thā
kyā vo maiñ hī thā
ghar kī tīsrī manzil par
din meñ das baar pahuñchnā
kosoñ paidal chalnā
dauḌ lagānā
din kī thakan kā
raat kī bedārī meñ muḳhil na honā
do do roz musalsal
chauñsaTh ḳhāne sāmne rakkhe
mohre aage pīchhe karnā
sab ma.amūl kī bāteñ
khāne se pahle ye kabhī na sochā
kyā khānā hai
baad meñ kabhī ḳhayāl na aaya
kyā aur kitnā khāyā
ganne ko dāñtoñ se chhīl ke khā saktā thā
kachchā saTTā pakke chane chabā saktā thā
shart lagā kar āñgan meñ
jāmun ke peḌ kī sab se ūñchī shāḳh ko chhū aatā thā
kyā vo maiñ hī thā
aur vo ishq ke qisse
ḳhair
un kā zikr to jaane hī do
un ke bayāñ kī taab nahīñ hai
yādoñ ke daftar meñ goyā
ab ye baab nahīñ hai
kya wo main hi tha
jis ne
itni ghazlen nazmen itne naTak
aur na-jaane kya kuchh likha
meri aankhen
milon dur falak par uDti hui patangen dekh ke
un mein farq bata sakti thin
badminton ke court ke aaKHiri kone se
palak jhapakne mein aage net par aata tha
aur palaT kar pal mein
wapas dusre kone tak jata tha
kya wo main hi tha
ghar ki tisri manzil par
din mein das bar pahunchna
koson paidal chalna
dauD lagana
din ki thakan ka
raat ki bedari mein muKHil na hona
do do roz musalsal
chaunsaTh KHane samne rakkhe
mohre aage pichhe karna
sab mamul ki baaten
khane se pahle ye kabhi na socha
kya khana hai
baad mein kabhi KHayal na aaya
kya aur kitna khaya
ganne ko danton se chhil ke kha sakta tha
kachcha saTTa pakke chane chaba sakta tha
shart laga kar aangan mein
jamun ke peD ki sab se unchi shaKH ko chhu aata tha
kya wo main hi tha
aur wo ishq ke qisse
KHair
un ka zikr to jaane hi do
un ke bayan ki tab nahin hai
yaadon ke daftar mein goya
ab ye bab nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.