kyon kahin baiTh ke dam lete nahin ek ghaDi
kis taraf dauḌe chale jaate ho tum yuuñ sarpaT
kaun sī manzil-e-maqsūd pe āñkheñ haiñ gaḌī
kyoñ lubhāte nahīñ raste ke nazāre tum ko
kyoñ kahīñ baiTh ke dam lete nahīñ ek ghaḌī
justujū kaun se fardā kī hai jis kī ḳhātir
tum ne imroz ke pal-pal ko hai nāshād kiyā
kaun jaane vo kabhī aa.egā bhī yā ki nahīñ
tum ne jis kal ke liye aaj hai barbād kiyā
is tarah jiinā to ai dost jahālat hai baḌī
kyoñ kahīñ baiTh ke dam lete nahīñ ek ghaḌī
dauḌ ye kaisī hai hāsil hai bhalā kyā is kā
rizq kis kaam agar ruuh nahīñ hai raazī
pā ke sab kuchh bhī lagegā ki nahīñ kuchh paayā
jiit kar haar hī jāoge tum āḳhir baazī
is qadar kis liye bolo tumheñ jaldī hai paḌī
kyoñ kahīñ baiTh ke dam lete nahīñ ek ghaḌī
haath aayā hai kisī ke kabhī mustaqbil kyā
be-sabab aise chhalāve kā karo mat pīchhā
daulat-e-naqd to hai sirf ye vaqt-e-hāzir
chhoḌ kar naqd udhārī kā karo mat saudā
jo ghaḌī haath hai aa.ī hai vo anmol ghaḌī
ḳhuub jī-bhar ke jiyo ziist kī har ek ghaḌī
kis taraf dauḌe chale jaate ho tum yuuñ sarpaT
kyoñ kahīñ baiTh ke dam lete nahīñ ek ghaḌī
kis taraf dauDe chale jate ho tum yun sarpaT
kaun si manzil-e-maqsud pe aankhen hain gaDi
kyon lubhate nahin raste ke nazare tum ko
kyon kahin baiTh ke dam lete nahin ek ghaDi
justuju kaun se farda ki hai jis ki KHatir
tum ne imroz ke pal-pal ko hai nashad kiya
kaun jaane wo kabhi aaega bhi ya ki nahin
tum ne jis kal ke liye aaj hai barbaad kiya
is tarah jina to ai dost jahaalat hai baDi
kyon kahin baiTh ke dam lete nahin ek ghaDi
dauD ye kaisi hai hasil hai bhala kya is ka
rizq kis kaam agar ruh nahin hai raazi
pa ke sab kuchh bhi lagega ki nahin kuchh paya
jit kar haar hi jaoge tum aaKHir bazi
is qadar kis liye bolo tumhein jaldi hai paDi
kyon kahin baiTh ke dam lete nahin ek ghaDi
hath aaya hai kisi ke kabhi mustaqbil kya
be-sabab aise chhalawe ka karo mat pichha
daulat-e-naqd to hai sirf ye waqt-e-hazir
chhoD kar naqd udhaari ka karo mat sauda
jo ghaDi hath hai aai hai wo anmol ghaDi
KHub ji-bhar ke jiyo zist ki har ek ghaDi
kis taraf dauDe chale jate ho tum yun sarpaT
kyon kahin baiTh ke dam lete nahin ek ghaDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.