ham māhī-gīr the
chamakte pāniyoñ meñ chamaktī machhliyāñ pakaḌne vaale
niile samundar aur niile āsmān ke darmiyān phailī huī
niilī dhuup hamāre jismoñ meñ utar ga.ī thī
jis se raat kī tārīkī meñ
hamārī āñkheñ raushan rahtī thiiñ
aur hamāre baal
sone chāñdī ke tāroñ kī tarah jagmagāte the
phir yuuñ huā
ki niilā samundar ḳhushk ho gayā
niile āsmān meñ surḳh Dore paḌ ga.e
aur qismat ne hameñ charvāhe banā diyā
hamāre maidānoñ kā sabza bhī bahut hasīn hai
aur chhitnār peḌoñ ke saa.e bhī bahut ḳhushk haiñ
lekin hamāre andar basī huī niilī dhuup
hameñ betāb rakhtī hai
aur raat kī tārīkī meñ hamārī raushan āñkheñ
ab bhī chamaktī machhliyoñ ko DhūñDhtī haiñ
kyūñki ham māhī-gīr the
hum mahi-gir the
chamakte paniyon mein chamakti machhliyan pakaDne wale
nile samundar aur nile aasman ke darmiyan phaili hui
nili dhup hamare jismon mein utar gai thi
jis se raat ki tariki mein
hamari aankhen raushan rahti thin
aur hamare baal
sone chandi ke taron ki tarah jagmagate the
phir yun hua
ki nila samundar KHushk ho gaya
nile aasman mein surKH Dore paD gae
aur qismat ne hamein charwahe bana diya
hamare maidanon ka sabza bhi bahut hasin hai
aur chhitnar peDon ke sae bhi bahut KHushk hain
lekin hamare andar basi hui nili dhup
hamein betab rakhti hai
aur raat ki tariki mein hamari raushan aankhen
ab bhi chamakti machhliyon ko DhunDhti hain
kyunki hum mahi-gir the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.