la-hasil
maiñ sochtī huuñ
ki zindagī kī tamām ḳhushiyāñ
tamām yādeñ
tamām ḳhvāb apne raushnī ke
tumhāre qadmoñ meñ nazr kar duuñ
mujhe ḳhabar hai ye ḳhvāb mere
purānī qabroñ ke
TūTe-phūTe shikasta katboñ kī tarah
be-āb ho chuke haiñ
maiñ jāntī huuñ
ye ḳhvāb mere
hisāb rakkhūñ to
zindagī-bhar kī dāstāñ haiñ
magar ye yādoñ ke ḳhushk patte
likhā hai bas jin pe ek hī naam
hazāroñ sadiyoñ hazāroñ barsoñ se
ek hī naam
jo paḌh sako to mujhe batā do
ki maiñ bhī ḳhvāboñ
kī is kahānī ko
koī achchhā sā naam de duuñ
main sochti hun
ki zindagi ki tamam KHushiyan
tamam yaaden
tamam KHwab apne raushni ke
tumhaare qadmon mein nazr kar dun
mujhe KHabar hai ye KHwab mere
purani qabron ke
TuTe-phuTe shikasta katbon ki tarah
be-ab ho chuke hain
main jaanti hun
ye KHwab mere
hisab rakkhun to
zindagi-bhar ki dastan hain
magar ye yaadon ke KHushk patte
likha hai bas jin pe ek hi nam
hazaron sadiyon hazaron barson se
ek hi nam
jo paDh sako to mujhe bata do
ki main bhi KHwabon
ki is kahani ko
koi achchha sa nam de dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.