la-maujud
shikasta ghar hai
dahakte āñgan meñ sin-rasīda shajar ke patte bikhar chuke haiñ
parindagāñ jo yahāñ chahakne meñ mahv rahte the
ḳhāmushī kī siloñ ke nīche dabe paḌe haiñ
sileñ jo ghar kī udhaḌtī chhat se kalām kartīñ to raushnī ko qarār miltā
qarār jis ne bujhe charāġhoñ kī hairatoñ ko sabāt baḳhshā
ufuq se aage
hamāre hīloñ
fareb dete hue bahānoñ kī qadr kam thī
so ham baqā se fanā kī jānib palaT rahe haiñ
ḳhamīr-e-ādam hai isti.āra shikastagī kā
ḳhalā se bāhar hamāre hone kī kahkashā.eñ
sarak rahī haiñ
shikasta ghar hai
dahakte aangan mein sin-rasida shajar ke patte bikhar chuke hain
parindagan jo yahan chahakne mein mahw rahte the
KHamushi ki silon ke niche dabe paDe hain
silen jo ghar ki udhaDti chhat se kalam kartin to raushni ko qarar milta
qarar jis ne bujhe charaghon ki hairaton ko sabaat baKHsha
ufuq se aage
hamare hilon
fareb dete hue bahanon ki qadr kam thi
so hum baqa se fana ki jaanib palaT rahe hain
KHamir-e-adam hai istiara shikastagi ka
KHala se bahar hamare hone ki kahkashaen
sarak rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.