la shuur
Interesting Fact
(Dedicated to lustrous waters)
maiñ so gayā
to zindagī alāmatoñ kī khoj meñ nikal ga.ī
purāne zāviyoñ kī dhuul
jism par male hue
bahut nirāsh saiñkaḌoñ baras ke giit ghaaT ghaaT phailte safed pāniyoñ ke biich gholtī
chaltī ga.ī
safed pāniyoñ ke naam
purāne zāviyoñ kī dhuul nafrateñ aur pattharoñ kī Dheryāñ
udaas paañv thak ga.e
na jādūoñ kī bhiiḌ thī na log the jo dhaat ke bane hue hisār meñ ghire
hue bikhar ga.e
nishān kāñpte nishān kho ga.e
vo gaañv aur gaañv kī nadī pe ek pul ki jaise aa.ine pe sañgtare ke surḳh qaash
bārhā jo dhuup meñ chamak uThī
vo bārishoñ se dhul ga.ī
kabhī safed pyāliyoñ ke gird jo bañdhe hue siyāh taar der tak sadā.eñ de ke kaT ga.e
to mausamoñ ke saa.e bhī guzar ga.e
zamīn apne āñsuoñ se bhīgtī chalī ga.ī
havā chalī to duur duur dhund se aTe hue gharoñ kī mōn-bastiyoñ meñ fāsloñ ke tez
sañkh baj uThe
jahāz koī aa rahā hai pāniyoñ ko chīrtā vo aa gayā
magar yahāñ kī bastiyoñ meñ kaun hai jo aas kī shikhā liye sapāT sard riit par khaḌā rahe
koī nahīñ koī nahīñ
to kyuuñ na ab bujhī huī dishāoñ ko sameT leñ
to kyuuñ na aur so raheñ
main so gaya
to zindagi alamaton ki khoj mein nikal gai
purane zawiyon ki dhul
jism par male hue
bahut nirash sainkaDon baras ke git ghaT ghaT phailte safed paniyon ke bich gholti
chalti gai
safed paniyon ke nam
purane zawiyon ki dhul nafraten aur pattharon ki Dheryan
udas panw thak gae
na jaduon ki bhiD thi na log the jo dhat ke bane hue hisar mein ghire
hue bikhar gae
nishan kanpte nishan kho gae
wo ganw aur ganw ki nadi pe ek pul ki jaise aaine pe sangtare ke surKH qash
barha jo dhup mein chamak uThi
wo barishon se dhul gai
kabhi safed pyaliyon ke gird jo bandhe hue siyah tar der tak sadaen de ke kaT gae
to mausamon ke sae bhi guzar gae
zamin apne aansuon se bhigti chali gai
hawa chali to dur dur dhund se aTe hue gharon ki moon-bastiyon mein faslon ke tez
sankh baj uThe
jahaz koi aa raha hai paniyon ko chirta wo aa gaya
magar yahan ki bastiyon mein kaun hai jo aas ki shikha liye sapaT sard rit par khaDa rahe
koi nahin koi nahin
to kyun na ab bujhi hui dishaon ko sameT len
to kyun na aur so rahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.