la-yahdil-qaumazzalimin
ham ḳharāboñ meñ rahte hue aise shahkār haiñ
jo ḳhudāoñ ko sajda kareñ
aur un ke ta'āqub meñ chalte hue
bhūke pyāsoñ ko luqma-e-ajal kar chaleñ
ham musībat-zada log haiñ
jo payambar kī bātoñ ko bhūle hue
ik musībat-zada shaḳhs ko apnā rahbar kaheñ
ham vo bhaTke hue log haiñ
jo ḳhudā ke payambar ko maslūb kar ke
usī ko ḳhudā kah ga.e
ham zamīñ-zād kaisī zamīñ par Tapak aa.eñ haiñ
ek aisī zamīñ ki jahāñ
zulm karnā hī dastūr hai
ham vahāñ haiñ jahāñ tere munkir ḳhudā.ī kā dā'vā kareñ
tere sachche kahāñ jaa.eñ kis ko pukāreñ batā
ai ḳhudā-e-azal munsif-e-do-jahāñ
do-jahānoñ ke ḳhāliq ḳhudā
is zamīñ ko banāne se pahle
tujhe sochnā chāhiye thā
hum KHarabon mein rahte hue aise shahkar hain
jo KHudaon ko sajda karen
aur un ke ta'aqub mein chalte hue
bhuke pyason ko luqma-e-ajal kar chalen
hum musibat-zada log hain
jo payambar ki baaton ko bhule hue
ek musibat-zada shaKHs ko apna rahbar kahen
hum wo bhaTke hue log hain
jo KHuda ke payambar ko maslub kar ke
usi ko KHuda kah gae
hum zamin-zad kaisi zamin par Tapak aaen hain
ek aisi zamin ki jahan
zulm karna hi dastur hai
hum wahan hain jahan tere munkir KHudai ka da'wa karen
tere sachche kahan jaen kis ko pukaren bata
ai KHuda-e-azal munsif-e-do-jahan
do-jahanon ke KHaliq KHuda
is zamin ko banane se pahle
tujhe sochna chahiye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.