Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lakhon mein ek monTu

Bilqis Zafirul Hasan

lakhon mein ek monTu

Bilqis Zafirul Hasan

MORE BYBilqis Zafirul Hasan

    mammy ḳhafā haiñ un suntā nahīñ hai monTū

    paapā ko hai shikāyat paḌhtā nahīñ hai monTū

    aur monTū miyāñ ab hairān se khaḌe haiñ

    sun sun ke DaañT un ke to kaan pak ga.e haiñ

    ho phantom ki Tan Tan tarzan ke qisse

    kyā kyā nahīñ paḌhā hai kyā kyā nahīñ vo paḌhte

    aur is pe ye shikāyat paḌhtā nahīñ hai kuchh bhī

    paḌhnā nahīñ to kyā hai had hai zyādtī

    kam aa.e haiñ jo number aisā bhī kyā huā hai

    har baar aao avval ye kis jagah likhā hai

    apnī taraf se parcha likhā thā Thiik yuuñ to

    examiner se shāyad kuchh bhuul ho ga.ī ho

    itnā bhī kyā bigaḌnā kyā fail ho ga.e haiñ

    is imtihān se aage sau imtihāñ paḌe haiñ

    kyā monTū miyāñ haiñ sab log dekh leñge

    har imtihāñ meñ avval ab aa ke ham raheñge

    mammy saheliyoñ meñ bāñTeñgī tab miThā.ī

    jo aaj DāñTte haiñ deñge vo kal badhā.ī

    ḳhush ho ke ek ik se kahte phireñge paapā

    ye apnā monTū to lākhoñ meñ ek niklā

    mammy KHafa hain un ki sunta nahin hai monTu

    papa ko hai shikayat paDhta nahin hai monTu

    aur monTu miyan ab hairan se khaDe hain

    sun sun ke DanT un ke to kan pak gae hain

    ho phantom ki Tan Tan ya tarzan ke qisse

    kya kya nahin paDha hai kya kya nahin wo paDhte

    aur is pe ye shikayat paDhta nahin hai kuchh bhi

    paDhna nahin to kya hai had hai zyaadti ki

    kam aae hain jo number aisa bhi kya hua hai

    har bar aao awwal ye kis jagah likha hai

    apni taraf se parcha likha tha Thik yun to

    examiner se shayad kuchh bhul ho gai ho

    itna bhi kya bigaDna kya fail ho gae hain

    is imtihan se aage sau imtihan paDe hain

    kya monTu miyan hain sab log dekh lenge

    har imtihan mein awwal ab aa ke hum rahenge

    mammy saheliyon mein banTengi tab miThai

    jo aaj DanTte hain denge wo kal badhai

    KHush ho ke ek ek se kahte phirenge papa

    ye apna monTu to lakhon mein ek nikla

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now