lapata
kyā tum bhī kal se lāpatā ho
shahr-e-hazīñ ke har qarye meñ
merī gumshudagī kī ḳhabar
kisī be-mausamī āñdhī kī tarah chal rahī hai
raaj nagar ke raaja ne merī talāsh meñ
apne payāde dauḌā diye haiñ
aur bastī ke sabhī purohit merī havelī ke bāhar mātam-kunāñ haiñ
kal shaam ke jhuTpuTe meñ raat girne se pahle
ham donoñ ko haath thāme barf-zāroñ meñ chalte kisī ne nahīñ dekhā
aur maiñ ne apnī khiḌkī se duur pahāḌoñ ke pīchhe ojhal hote sūraj ko tanhā dekhā
us kī āḳhirī kiran merī hathelī par aag kī tarah jalne lagī
to mere ranjīda dil ne tumheñ yaad kiyā
aur is udāsī meñ maiñ ne ḳhud ko mohabbat se sarshār paayā
mujhe lagā tumhārī niilī āstīñ kā button
mere bāloñ se ulajh paḌā hai
aur mere juuḌe se ek motī TuuT ke girā hai
mujhe yuuñ lagā jhiil ke billorīñ pāniyoñ meñ
mere chehre pe tumhārā aks paḌā hai
agar vo tum nahīñ the to aur kaun thā
vo jo bhī thā mujh se kah rahā thā
kyā tum bhī kal se lāpatā ho
merī talāsh kī nishān-dahī meñ log batā rahe haiñ
ki tum ko āḳhirī baar kahāñ sunā dekhā gayā
kyā kisī ne raaja ko batā diyā
ki tum ko āḳhirī baar
urdu zabāñ meñ sher kahte
merī āñkhoñ ke ābgīnoñ meñ dekhā gayā
kya tum bhi kal se lapata ho
shahr-e-hazin ke har qarye mein
meri gumshudagi ki KHabar
kisi be-mausami aandhi ki tarah chal rahi hai
raj nagar ke raja ne meri talash mein
apne payaade dauDa diye hain
aur basti ke sabhi purohit meri haweli ke bahar matam-kunan hain
kal sham ke jhuTpuTe mein raat girne se pahle
hum donon ko hath thame barf-zaron mein chalte kisi ne nahin dekha
aur main ne apni khiDki se dur pahaDon ke pichhe ojhal hote suraj ko tanha dekha
us ki aaKHiri kiran meri hatheli par aag ki tarah jalne lagi
to mere ranjida dil ne tumhein yaad kiya
aur is udasi mein main ne KHud ko mohabbat se sarshaar paya
mujhe laga tumhaari nili aastin ka button
mere baalon se ulajh paDa hai
aur mere juDe se ek moti TuT ke gira hai
mujhe yun laga jhil ke billorin paniyon mein
mere chehre pe tumhaara aks paDa hai
agar wo tum nahin the to aur kaun tha
wo jo bhi tha mujh se kah raha tha
kya tum bhi kal se lapata ho
meri talash ki nishan-dahi mein log bata rahe hain
ki tum ko aaKHiri bar kahan suna dekha gaya
kya kisi ne raja ko bata diya
ki tum ko aaKHiri bar
urdu zaban mein sher kahte
meri aankhon ke aabginon mein dekha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.