lab-e-baam
tumhīñ to aa.ī ho saj-dhaj ke jalva-gar hone
tumhīñ khaḌī ho lab-e-bām dekhtā huuñ maiñ
kuchh aur der zarā tum vahīñ khaḌī rahnā
nashāt-e-dīd kā hangām dekhtā huuñ maiñ
tumhārā husn hai goyā nikhār phūloñ kā
har ik adā pe tumhārī nisār jān-o-dil
vafā ke naam pe marnā bhī mujh ko aatā hai
sahārā de do mujhe tum ki duur hai manzil
tumheñ ye kaise maiñ samjhā.ūñ ai sabā-andāz
ki maiñ tumhārī adāoñ pe jaan detā huuñ
pahuñch hī jā.ūñgā āḳhir tumhāre āñchal tak
qasam tumhārī tumheñ maiñ zabān detā huuñ
ye jāntā huuñ ki haiñ ḳhaar rahguzāroñ meñ
zamāna aayā hai ham-fitrat-e-sitam ban kar
har ik sitam ko maiñ sah lūñgā kaash tum kuchh der
vahīñ khaḌī raho guldasta-e-karam ban kar
tumhārī āñkhoñ meñ ho intizār kā kājal
to mere sāmne rāhoñ ke pech-o-ḳham kyā haiñ
tumhāre lutf kī sham.eñ agar farozāñ hoñ
to tīrgī-e-sitam sarsar-e-alam kyā haiñ
firāq-o-ġham ke añdheroñ meñ laḌkhaḌāte hue
tumhāre paas maiñ bālā-e-bām ā.uñgā
banā ke nazm-e-kuhan ko ġhubār-e-rāhguzar
liye hue maiñ na.ī sub.h-o-shām ā.uñgā
tumhin to aai ho saj-dhaj ke jalwa-gar hone
tumhin khaDi ho lab-e-baam dekhta hun main
kuchh aur der zara tum wahin khaDi rahna
nashat-e-did ka hangam dekhta hun main
tumhaara husn hai goya nikhaar phulon ka
har ek ada pe tumhaari nisar jaan-o-dil
wafa ke nam pe marna bhi mujh ko aata hai
sahaara de do mujhe tum ki dur hai manzil
tumhein ye kaise main samjhaun ai saba-andaz
ki main tumhaari adaon pe jaan deta hun
pahunch hi jaunga aaKHir tumhaare aanchal tak
qasam tumhaari tumhein main zaban deta hun
ye jaanta hun ki hain KHar rahguzaron mein
zamana aaya hai ham-fitrat-e-sitam ban kar
har ek sitam ko main sah lunga kash tum kuchh der
wahin khaDi raho guldasta-e-karam ban kar
tumhaari aankhon mein ho intizar ka kajal
to mere samne rahon ke pech-o-KHam kya hain
tumhaare lutf ki shamen agar farozan hon
to tirgi-e-sitam sarsar-e-alam kya hain
firaq-o-gham ke andheron mein laDkhaDate hue
tumhaare pas main baala-e-baam aaunga
bana ke nazm-e-kuhan ko ghubar-e-rahguzar
liye hue main nai subh-o-sham aaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.