lab-e-dariya-e-suKHan par
dariyā-e-suḳhan 'ishq ke nashshe meñ ravāñ hai
sabza hai gulistān-e-tasavvur ke kināre
mad.hosh ravānī meñ mirī fikr nihāñ hai
mas.hūr haiñ maujoñ ke tarannum se kināre
ye vaqt-e-sahar bād-e-sabā dhund kī chādar
lagtā hai ki shabnam abhī utrī hai guloñ par
raqsāñ haiñ sar-e-rāh ka.ī shāḳh-e-sanobar
kuchh der meñ niklegā ujāloñ kā payambar
mashriq se ḳhudā-dād shu'ā'oñ ko pahan kar
mā.il-ba-taḳhayyul hai abhī tab'-e-suḳhanvar
tum nuur kā paikar ho tumheñ nazm meñ Dhālūñ
kuchh raushnī paḌ jaa.e tumhārī mire fan par
maiñ chashm-e-tahayyur se tumheñ dekh rahā huuñ
tum baiThī huī ho lab-e-dariyā-e-suḳhan par
dariya-e-suKHan 'ishq ke nashshe mein rawan hai
sabza hai gulistan-e-tasawwur ke kinare
madhosh rawani mein meri fikr nihan hai
mashur hain maujon ke tarannum se kinare
ye waqt-e-sahar baad-e-saba dhund ki chadar
lagta hai ki shabnam abhi utri hai gulon par
raqsan hain sar-e-rah kai shaKH-e-sanobar
kuchh der mein niklega ujalon ka payambar
mashriq se KHuda-dad shu'a'on ko pahan kar
mail-ba-taKHayyul hai abhi tab'-e-suKHanwar
tum nur ka paikar ho tumhein nazm mein Dhaalun
kuchh raushni paD jae tumhaari mere fan par
main chashm-e-tahayyur se tumhein dekh raha hun
tum baiThi hui ho lab-e-dariya-e-suKHan par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.