lackadaisical
ab vo
ghar ke har kone se
drawing-rōm ke ash-tray se
kitchen meñ kuuḌe ke Dabbe se
jahāñ kahīñ bhī
bujhī huī māchis kī tiilī
mil jaa.e chuntā rahtā hai
aur kisī tanhā goshe meñ
māchis kī ik ik tiilī ko
baarī baarī
apnī āñkhoñ ke aage rakhtā hai
aise meñ us shaḳhs kī sāñseñ
tez tez chalne lagtī haiñ
āñkheñ sho'la ho jaatī haiñ
phir vo
māchis kī bujhī huī har ik tiilī ko
zor zor se
dāñtoñ se kuchlā kartā hai
aur aise meñ
ghar kā koī fard nazar aa jaa.e
to pahle hañs detā hai
hañste-hañste ro paḌtā hai
der der tak
zār-zār rotā rahtā hai
ab wo
ghar ke har kone se
drawing-room ke ash-tray se
kitchen mein kuDe ke Dabbe se
jahan kahin bhi
bujhi hui machis ki tili
mil jae chunta rahta hai
aur kisi tanha goshe mein
machis ki ek ek tili ko
bari bari
apni aankhon ke aage rakhta hai
aise mein us shaKHs ki sansen
tez tez chalne lagti hain
aankhen sho'la ho jati hain
phir wo
machis ki bujhi hui har ek tili ko
zor zor se
danton se kuchla karta hai
aur aise mein
ghar ka koi fard nazar aa jae
to pahle hans deta hai
hanste-hanste ro paDta hai
der der tak
zar-zar rota rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.