lafz bolta hai
lafz boltā hai
kaun sī ainak
lagā kar dekhūñ
kis zāviye
jhāñk kar parkhūñ
vo
ki ek nuqta hai
andar hī andar
saraktā jaa.e
badaltā jaa.e
badaltā jaa.e
shakloñ pe shakleñ
chalne lage
ruk sā jaa.e
aur
Thahre aise ki chal paḌe
gum haiñ
is kī pahnā.iyoñ meñ
sahrā sahrā vus.ateñ
nazar nazar hai
savāl-ba-dosh
har manzar ke
badal jaane par
ka.ī janmoñ se
guzar jaatā huuñ
maiñ
ki ek lamha huuñ
par
tārīḳh-dar-tārīḳh bhaTak rahā huuñ
lafz bolta hai
kaun si ainak
laga kar dekhun
kis zawiye
jhank kar parkhun
wo
ki ek nuqta hai
andar hi andar
sarakta jae
badalta jae
badalta jae
shaklon pe shaklen
chalne lage
ruk sa jae
aur
Thahre aise ki chal paDe
gum hain
is ki pahnaiyon mein
sahra sahra wusaten
nazar nazar hai
sawal-ba-dosh
har manzar ke
badal jaane par
kai janmon se
guzar jata hun
main
ki ek lamha hun
par
tariKH-dar-tariKH bhaTak raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.