lafz lai hone ko hai
raah tai hone ko hai
multavī rakkhā huā
pai-ba-pai hone ko hai
jo kabhī thā bhī na thā
ab vo hai hone ko hai
ḳhū badal dī jā.egī
baañs nai hone ko hai
ik taġhayyur hai kahīñ
zahr mai hone ko hai
har taraf hai guuñj sī
kis kī jai hone ko hai
ek shai ab kuchh nahīñ
ek shai hone ko hai
kyā pukārā jā.egā
kaun ai hone ko hai
rah tai hone ko hai
multawi rakkha hua
pai-ba-pai hone ko hai
jo kabhi tha bhi na tha
ab wo hai hone ko hai
KHu badal di jaegi
bans nai hone ko hai
ek taghayyur hai kahin
zahr mai hone ko hai
har taraf hai gunj si
kis ki jai hone ko hai
ek shai ab kuchh nahin
ek shai hone ko hai
kya pukara jaega
kaun ai hone ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.