lafz to banjh hain
lafz to bāñjh haiñ jazboñ kī qadr kyā jāneñ
zindagī baar chuke hoñ to qahr kyā jāneñ
apne ma.asūm gulāboñ se hasīñ bachchoñ kī
ek khoī huī muskān pe kuchh likhnā hai
un kī be-jān nigāhoñ pe mujhe kahnā hai
lafz to bāñjh haiñ qirtās ke ā.īne haiñ
lafz ziist kā unvān haiñ sarmāya haiñ
phir bhī jazbāt ke akkās nahīñ ho sakte
ḳhauf ke shahr meñ ehsās nahīñ ho sakte
nauha-e-ġham bhī to ehsās kī jaulānī hai
haa.e ai dil ki yahāñ ḳhauf kī vīrānī hai
muntazir maañ jo khaḌī hai ki bahut der huī
mere ghar-bār kī raunaq nahīñ aayā ab tak
lafz meñ DhūñD rahī huuñ ki use kaise kahūñ
terā ma.asūm shahīdoñ meñ likhā aayā
naam apnā jo bahut pyaar se rakhā tū ne
TuuT kar duur kahīñ jā ke ki girā hai vo shajar
jis ko din-rāt mohabbat se sañvārā tū ne
lafz to bāñjh haiñ jazbāt nahīñ kah sakte
vaqt ke vaar ko us paar nahīñ sah sakte
lafz to banjh hain jazbon ki qadr kya jaanen
zindagi bar chuke hon to qahr kya jaanen
apne masum gulabon se hasin bachchon ki
ek khoi hui muskan pe kuchh likhna hai
un ki be-jaan nigahon pe mujhe kahna hai
lafz to banjh hain qirtas ke aaine hain
lafz zist ka unwan hain sarmaya hain
phir bhi jazbaat ke akkas nahin ho sakte
KHauf ke shahr mein ehsas nahin ho sakte
nauha-e-gham bhi to ehsas ki jaulani hai
hae ai dil ki yahan KHauf ki virani hai
muntazir man jo khaDi hai ki bahut der hui
mere ghar-bar ki raunaq nahin aaya ab tak
lafz mein DhunD rahi hun ki use kaise kahun
tera masum shahidon mein likha aaya
nam apna jo bahut pyar se rakha tu ne
TuT kar dur kahin ja ke ki gira hai wo shajar
jis ko din-raat mohabbat se sanwara tu ne
lafz to banjh hain jazbaat nahin kah sakte
waqt ke war ko us par nahin sah sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.