lafzon ki dukan mein
kaalī billī ne ye bhī nahīñ sochā ki maiñ kisī niiñd meñ ḳhalal ho rahī huuñ
us ko to chūhoñ se matlab hai
aur ye kam-baḳht apnī biloñ meñ chhupe kyuuñ nahīñ rahte
azal se yahī ho rahā hai
ghaḌī ne shāyad baara bajā diye haiñ
ye ḳhudā ke ārām kā vaqt hai
aur vo shab bedār use sone nahīñ dete
apne burte par gunāh karte to duāoñ kī naubat hī kyuuñ aatī
lekin ye baat un kī samajh meñ nahīñ aa.egī
bātoñ ke pher ne hī ham ko janam diyā hai
varna zamīñ ke kokh kahāñ thī
phir ham ne jannat banā.ī aur use jahannam meñ jhoñk diyā
ab ye pahchānñā baḌā mushkil hai ki kaun kahāñ se shurūa hotā hai aur kaun kahāñ ḳhatm hotī hai
pahle dā.eroñ se zāviye nikalte the
ab zāviye dā.ere banāte haiñ
muḳhtasar ye ki dalīloñ ne apnā kaam chhoḌ diyā hai
kali billi ne ye bhi nahin socha ki main kisi nind mein KHalal ho rahi hun
us ko to chuhon se matlab hai
aur ye kam-baKHt apni bilon mein chhupe kyun nahin rahte
azal se yahi ho raha hai
ghaDi ne shayad bara baja diye hain
ye KHuda ke aaram ka waqt hai
aur wo shab bedar use sone nahin dete
apne burte par gunah karte to duaon ki naubat hi kyun aati
lekin ye baat un ki samajh mein nahin aaegi
baaton ke pher ne hi hum ko janam diya hai
warna zamin ke kokh kahan thi
phir hum ne jannat banai aur use jahannam mein jhonk diya
ab ye pahchanna baDa mushkil hai ki kaun kahan se shurua hota hai aur kaun kahan KHatm hoti hai
pahle daeron se zawiye nikalte the
ab zawiye daere banate hain
muKHtasar ye ki dalilon ne apna kaam chhoD diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.