lagan
tumheñ maiñ ne chāhā baḌī choT khaa.ī
tumhāre hī kāran huī jag-hañsā.ī
kahāñ aa gayā maiñ sahāre sahāre
ki sudh tak nahīñ jī ko apnī parā.ī
ye chāhat kī bhī kaisī ulTī lagan hai
mareñ to ji.eñ aur ji.eñ to maran hai
chalā jā rahā huuñ maiñ ik aasre par
ki nagrī to sundar hai rasta kaThin hai
akelā huuñ raste meñ ghabrā rahā huuñ
bahaltā nahīñ jī ko bahlā rahā huuñ
kisī ke akhāḌe se kab paañv ukhḌe
chalā jā rahā thā chalā jā rahā huuñ
akele meñ koī sahārā to hotā
mirā Dūbtā jī ubhārā to hotā
nahīñ DhūñDte DhūñDte kho gayā maiñ
kahāñ ho kahīñ se pukārā to hotā
tumhāre binā chhā rahī hai udāsī
binā ruup kaliyoñ kā hai baasī baasī
kahāñ tak bhalā is tarah din kaTeñge
ki jī bhūkā bhūkā hai āñkheñ piyāsī
mujhe aaj lalchā rahe ho lubhā kar
na mere bane mujh ko apnā banā kar
zarā der rukte zarā to Thaharte
kahāñ chhup ga.e ik jhalak sī dikhā kar
kiye haiñ bahut maiñ ne pheroñ pe phere
ulāhane sahe rāt-din tere mere
isī dhun meñ chakkar lagātā rahā maiñ
añdhere ujāle avere-savere
mujhe to bas is baat ne maar Daalā
ki sachchī lagan kā rahe bol-bālā
mujhe apnī chāhat pe itnā bharam hai
añdhere meñ ho kar rahegā ujālā
kaleje ko ab ye chubhan khā rahī hai
na tum aa.e aur baat bhī jā rahī hai
kahīñ bhed bhī apnā kahtā hai koī
mujhe apne uupar hañsī aa rahī hai
tumhein main ne chaha baDi choT khai
tumhaare hi karan hui jag-hansai
kahan aa gaya main sahaare sahaare
ki sudh tak nahin ji ko apni parai
ye chahat ki bhi kaisi ulTi lagan hai
maren to jien aur jien to maran hai
chala ja raha hun main ek aasre par
ki nagri to sundar hai rasta kaThin hai
akela hun raste mein ghabra raha hun
bahalta nahin ji ko bahla raha hun
kisi ke akhaDe se kab panw ukhDe
chala ja raha tha chala ja raha hun
akele mein koi sahaara to hota
mera Dubta ji ubhaara to hota
nahin DhunDte DhunDte kho gaya main
kahan ho kahin se pukara to hota
tumhaare bina chha rahi hai udasi
bina rup kaliyon ka hai basi basi
kahan tak bhala is tarah din kaTenge
ki ji bhuka bhuka hai aankhen piyasi
mujhe aaj lalcha rahe ho lubha kar
na mere bane mujh ko apna bana kar
zara der rukte zara to Thaharte
kahan chhup gae ek jhalak si dikha kar
kiye hain bahut main ne pheron pe phere
ulahane sahe raat-din tere mere
isi dhun mein chakkar lagata raha main
andhere ujale awere-sawere
mujhe to bas is baat ne mar Dala
ki sachchi lagan ka rahe bol-baala
mujhe apni chahat pe itna bharam hai
andhere mein ho kar rahega ujala
kaleje ko ab ye chubhan kha rahi hai
na tum aae aur baat bhi ja rahi hai
kahin bhed bhi apna kahta hai koi
mujhe apne upar hansi aa rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.