lahron ka aatish-fishan
ye aañsū be-sabab bante nahīñ haiñ
inheñ tum sirf paanī kah ke mat Taalo
bahut se hādse aa.e magar ye tsunami-lahreñ
har aafat se aage haiñ hamāre dil hilā kar
āñsuoñ kā sail ban kar bah rahā hai
hazāroñ be-sahārā log
yuuñ bhī marne vaale the
magar zer-e-zamīñ paanī samundar kī ye lahreñ
jism ke TukḌe ko miTTī banā kar khā ga.ī haiñ
jise sab zalzale kā naam dete haiñ
āḳhir samundar kī ye lahreñ zamīñ ko chaak kar ke aa.iiñ haiñ
is tarah miTTī ko miTTī se milātī haiñ
hamāre ashk bahne do
ki ġham har gaam rag rag meñ samāyā hai
hameñ ġham thā hamārī ibtidā ġham se huī thī
aur intihā bhī ġham hai
magar ye āñsuoñ kā sail bahne do
ki shāyad kuchh sakūñ mil jaa.e
mere dīda-e-bīnā ko āḳhirī lamhe
ye aansu be-sabab bante nahin hain
inhen tum sirf pani kah ke mat Talo
bahut se hadse aae magar ye tsunami-lahren
har aafat se aage hain hamare dil hila kar
aansuon ka sail ban kar bah raha hai
hazaron be-sahaara log
yun bhi marne wale the
magar zer-e-zamin pani samundar ki ye lahren
jism ke TukDe ko miTTi bana kar kha gai hain
jise sab zalzale ka nam dete hain
aaKHir samundar ki ye lahren zamin ko chaak kar ke aain hain
is tarah miTTi ko miTTi se milati hain
hamare ashk bahne do
ki gham har gam rag rag mein samaya hai
hamein gham tha hamari ibtida gham se hui thi
aur intiha bhi gham hai
magar ye aansuon ka sail bahne do
ki shayad kuchh sakun mil jae
mere dida-e-bina ko aaKHiri lamhe
- Book : shab khuun (rekhta website)(291) (Pg. 12)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.