lahu bolta hai 4
maiñ apne ḳhuuñ ko javāb detā huuñ
nichlā hissa mire badan kā
jo zaat bhī kā.enāt bhī thā
mirā hī apnā aTuuT hissa thā maiñ hī thā merā apnā maiñ thā
agar maiñ haivāñ kī pahlī manzil se
irtiqā ke hazār zīnoñ pe chaḌhtā chaḌhtā
vajūd kī ek ek manzil phalāñg kar
ahd-e-mansabī ke kisī bhī ā.inda kal kī jānib ravāñ-davāñ huuñ
to mujh ko haivāñ se buġhz kyā hai
ki irtiqā kī ye pahlī manzil
mirī rag-o-pai meñ
jism ke resha-hā-e-mū meñ
rachī huī hai
basī huī hai
ye merā kal hai jo mere hāzir kā aaj bhī hai
mire guzishta se aaj paivast merā maazī hī
mere tan kā vo nichlā hissa hai
jis ko jhuTlā ke
jis se Dar kar
jise kahīñ kaañT chhāñT karne ke ba.ad
rūd-e-nafī ke tārīk chaah meñ pheñk kar
maiñ aadhe adhūre tan ko liye hue kaise jī sakūñgā
main apne KHun ko jawab deta hun
nichla hissa mere badan ka
jo zat bhi kaenat bhi tha
mera hi apna aTuT hissa tha main hi tha mera apna main tha
agar main haiwan ki pahli manzil se
irtiqa ke hazar zinon pe chaDhta chaDhta
wajud ki ek ek manzil phalang kar
ahd-e-mansabi ke kisi bhi aainda kal ki jaanib rawan-dawan hun
to mujh ko haiwan se bughz kya hai
ki irtiqa ki ye pahli manzil
meri rag-o-pai mein
jism ke resha-ha-e-mu mein
rachi hui hai
basi hui hai
ye mera kal hai jo mere hazir ka aaj bhi hai
mere guzishta se aaj paiwast mera mazi hi
mere tan ka wo nichla hissa hai
jis ko jhuTla ke
jis se Dar kar
jise kahin kanT chhanT karne ke baad
rud-e-nafi ke tarik chah mein phenk kar
main aadhe adhure tan ko liye hue kaise ji sakunga
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 515)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.