lahu KHud hi pukar uTThega
qatl ho aur sar-e-bāzār na kyoñ hairat ho
aur phir qatl se inkār na kyoñ hairat ho
da.avā-e-adl bhī qātil kī taraf-dārī bhī
jab ho ye adl kā me.aar na kyoñ hairat ho
aaj āzād hai qānūn se mujrim yaksar
jurm-e-nā-karda giraftār na kyoñ hairat ho
kyoñ ta.ajjub ho ki qātil kā nigahbān hai adl
aur mazlūm sar-e-dār na kyoñ hairat ho
ham ne insāf jo chāhā to sazā paa.ī hai
hai ye insāf to jiine kī fazā kyā hogī
ab faqat adl nahīñ ziist ke bhī tālib haiñ
zindagī chāhne vāloñ kī sazā kyā hogī
qaid se tab.a-e-junūñ-sāz kahāñ ruktī hai
jabr se jur.at-e-parvāz kahāñ ruktī hai
arsa-e-zīst ho zindāñ ho ki maqtal ho kahīñ
zulm se ziist kī āvāz kahāñ ruktī hai
zulm hogā to zabāñ chup na rahegī hargiz
na.ara hargiz na dabegā sar-e-dār uTThegā
vaqt pahchānegā zālim ko bhī mazlūm ko bhī
kaun qātil hai lahū ḳhud hī pukār uTThegā
qatl ho aur sar-e-bazar na kyon hairat ho
aur phir qatl se inkar na kyon hairat ho
dawa-e-adl bhi qatil ki taraf-dari bhi
jab ho ye adl ka mear na kyon hairat ho
aaj aazad hai qanun se mujrim yaksar
jurm-e-na-karda giraftar na kyon hairat ho
kyon tajjub ho ki qatil ka nigahban hai adl
aur mazlum sar-e-dar na kyon hairat ho
hum ne insaf jo chaha to saza pai hai
hai ye insaf to jine ki faza kya hogi
ab faqat adl nahin zist ke bhi talib hain
zindagi chahne walon ki saza kya hogi
qaid se taba-e-junun-saz kahan rukti hai
jabr se jurat-e-parwaz kahan rukti hai
arsa-e-zist ho zindan ho ki maqtal ho kahin
zulm se zist ki aawaz kahan rukti hai
zulm hoga to zaban chup na rahegi hargiz
nara hargiz na dabega sar-e-dar uTThega
waqt pahchanega zalim ko bhi mazlum ko bhi
kaun qatil hai lahu KHud hi pukar uTThega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.