lahu ko zoom karte hain
darīche se jahāñ tak bhī nazar aatā hai
musalsal ḳhāmushī hai
saḌak kī piilī lakīr
sar pīTtī hai
duur tak fōt-pāth par rauñde hue saa.e
poll par bijlī ke khambe se laTaktī ek chamgādaḌ
sub.h kā zard chehrā raat ke andoh kā ahvāl ek chaupāya
aur nukkaḌ par khaḌe ho tum
musalsal ḳhāmushī hai
darīche se jahāñ tak bhī nazar aatā hai
musalsal ḳhāmushī hai
mire kamre ke andar
haañ magar tārīḳh raushan hai
hazāroñ saal ke tajrabe bāñheñ pasāre aise baiThe haiñ
ki jaise shahr bhar kī ḳhāmoshī se mutma.in huuñ
mere computer kī Desktop
kal kī ik tasvīr apnī kahānī boltī hai
na jaane kyuuñ ye manzar dekhte hī
saḌak par phir shor o girya jaag uThtā hai
saroñ kī bhiiḌ ugtī hai
ravāñ rahte haiñ saa.e
ba-juz is ke musalsal ḳhāmoshī hai
magar dil chāhtā hai ḳhāmoshī ko aise toḌūñ
tumhāre paas jā.ūñ
aur kahūñ bandūq ko nīche karo
aao nā mirī Desktop par kal kā photo tum bhī dekho
tum bhī dekho
maiñ lahū ko zoom kartā huuñ
dariche se jahan tak bhi nazar aata hai
musalsal KHamushi hai
saDak ki pili lakir
sar piTti hai
dur tak foot-path par raunde hue sae
poll par bijli ke khambe se laTakti ek chamgadaD
subh ka zard chehra raat ke andoh ka ahwal ek chaupaya
aur nukkaD par khaDe ho tum
musalsal KHamushi hai
dariche se jahan tak bhi nazar aata hai
musalsal KHamushi hai
mere kamre ke andar
han magar tariKH raushan hai
hazaron sal ke tajrabe banhen pasare aise baiThe hain
ki jaise shahr bhar ki KHamoshi se mutmain hun
mere computer ki Desktop
kal ki ek taswir apni kahani bolti hai
na jaane kyun ye manzar dekhte hi
saDak par phir shor o girya jag uThta hai
saron ki bhiD ugti hai
rawan rahte hain sae
ba-juz is ke musalsal KHamoshi hai
magar dil chahta hai KHamoshi ko aise toDun
tumhaare pas jaun
aur kahun banduq ko niche karo
aao na meri Desktop par kal ka photo tum bhi dekho
tum bhi dekho
main lahu ko zoom karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.