lakaDhaari
safīna-sāz thā vo lakḌiyāñ maiñ kaaT laatī thī
so bas ik din kahā us ne lakaḌhārī
anokhe ik safīne kī hī ab taḳhlīq baaqī hai
mujhe darkār hai jis ke liye nādīda jangal kī
khanaktī surma.ī lakḌī
agar tū DhūñD laa.e to
banā saktā huuñ maiñ nādir safīna ik
maiñ us kī baat sunte hī yakāyak chauñk uTThī phir
nazar bhar kar use dekhā zarā sā muskurā.ī aur
kisī nādīda jangal kī taraf chalne lagī paiham
na-jāne kitne mīloñ kī masāfat par khaḌī huuñ par
koī nādīda jangal hī nahīñ miltā
khanaktī surma.ī lakḌī
kahāñ se haath aa.egī
magar ab sochtī huuñ ki safīna-sāz ko mere kisī sarsabz jangal kī khanaktī surma.ī lakḌī yaqīnan mil ga.ī hogī
safina-saz tha wo lakDiyan main kaT lati thi
so bas ek din kaha us ne lakaDhaari
anokhe ek safine ki hi ab taKHliq baqi hai
mujhe darkar hai jis ke liye nadida jangal ki
khanakti surmai lakDi
agar tu DhunD lae to
bana sakta hun main nadir safina ek
main us ki baat sunte hi yakayak chaunk uTThi phir
nazar bhar kar use dekha zara sa muskurai aur
kisi nadida jangal ki taraf chalne lagi paiham
na-jaane kitne milon ki masafat par khaDi hun par
koi nadida jangal hi nahin milta
khanakti surmai lakDi
kahan se hath aaegi
magar ab sochti hun ki safina-saz ko mere kisi sarsabz jangal ki khanakti surmai lakDi yaqinan mil gai hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.