lakiren
ai tā.ir-e-tamannā
ik dūsre kī ḳhātir
kaise ruke paḌe haiñ
tū bhī tirī zabāñ bhī
maiñ bhī mirā qalam bhī
vāmāñdgī kī lau meñ
ye kaun sī zamīñ hai
jis kī numū se merī
sāñseñ rukī huī haiñ
ye kaun sā falak hai
jis kī tahoñ meñ shab kī
begānagī dharī hai!
ai tair-e-tamanna
ek dusre ki KHatir
kaise ruke paDe hain
tu bhi teri zaban bhi
main bhi mera qalam bhi
wamandgi ki lau mein
ye kaun si zamin hai
jis ki numu se meri
sansen ruki hui hain
ye kaun sa falak hai
jis ki tahon mein shab ki
beganagi dhari hai!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 101)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.